Birds of jannah~❤️‍??

Description
We also had dreams untill we found tawheed, then we said "??? ??? ????? ?? ?????? ??? ??? ??????? ?? ????."❤️‍??
Advertising
We recommend to visit

FD GB GL DS

WE DO NOT SUPPORT BETTING

+919971691268- WATSAPP FOR MEMBERSHIP ONLY (4 JODI MAI GAME )?

Cricket casino mai satta KHELO..?
https://t.me/+VGiHMj_EkHmQgh3D

Last updated 1 year, 12 months ago

Tipping Only Those Country Where Betting Is legal...

Telegram Channel Link?
https://t.me/+mjW7I6DjNe0zMTZl

Telegram Username?

Contact? @ViyushSharmaOriginal

Last updated 1 month, 3 weeks ago

Last updated 7 months ago

1 month, 2 weeks ago

Kon tha vo jisne Abu Bakr ko Siddiq banaya,
Kon tha vo jisne Umar ko Faruq banaya,
Kon tha vo jisne Uthman ko Dhun Nurayn banaya,
Kon tha vo jisne Ali ko Asadullah ka laqab dilaya.

Kon tha vo jisne Hamzah ko Sayyid ash-Shuhada banaya,
Kon tha vo jisne Ibn Mas'ud ko Faqih al-Ummah banaya,
Kon tha vo jisne Ibn Abbas ko Mufassir-e-Qur'an banaya,
Kon tha vo jisne Bilal ko Mu’adhdhin-e-Rasul banaya.

Kon tha vo jisne Abu Ubaydah ko Amin al-Ummah banaya,
Kon tha vo jisne Hasan aur Husayn ko Jannat ke jawano ka sardar banaya,
Kon tha vo jisne Fatimah ko Auraton ki Jannat mein qaid banaya,
Vo the hamare Nabi Rehmatul lil Aalamin, Hazrat-e-Mohammad-e-Mustafa Sallallaahu alayhi wa sallam

1 month, 2 weeks ago

Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh

Topic: What is Epistemology and How Does Islamic Epistemology Work?

Aapne kabhi na kabhi ye suna hoga ke fula kaam makruh hai, fula kaam sunnat hai, aur fula kaam farz hai. Ab sawal ye hai ki ye kaise tai hota hai ke kaunsa kaam makruh, sunnat, ya farz hai? Iske peeche ek pura science hai jisko "epistemology" kehte hain.

Epistemology Kya Hai?

Epistemology, ilm ka wo sh'oba hai jo ilm ke zariye aur uske sources par baat karta hai. Ye ye bhi dekhta hai ke ilm aur waqiyaat (reality) ke darmiyan kya taluq hai,aur knowledge ko exist karne ke liye konsi conditions zaruri he!!

Agar asaan lafzon mein kaha jaye, toh epistemology ilm ke haasil karne ke tariqon aur uske sources ki tehqiqat karti hai. Yeh yeh bhi dekhta hai ke ilm ko kis zariye se hasil kiya jaye aur kon se cheezain mautabar (authentic) hain.

Islamic Epistemology Kya Hai?

Islamic epistemology yeh dekhti hai ke Islam mein ilm ke liye kon se sources ko zariya banaya jaye, kon si cheez m'utabar hogi, aur kon si cheez be-a'tebar (not useful) hogi.

Islamic epistemology chaar bunyadi cheezon par mabni hai:

1.Qur'an
2.Hadith
3.Ijma' (scholars ki raay)
4.Qiyas (analogical reasoning)

Jab kisi bhi amal ke baare mein tehqiqat karni hoti hai, toh sabse pehle Qur'an ka rujoo kiya jata hai. Agar Qur'an mein us amal ke mutaliq kuch milta hai, toh usko sabse pehle source ke tor par apnaya jata hai. Uske baad Hadith ki taraf rujoo kiya jata hai.

Baaki tafseel hum dusre parts mein bayan karenge, In Sha Allah.

Jazakallahu Khairan

[Note:- Ye cheeze isliye nahi batayi jarahi ke aap log Qur'an, hadith se khud hi qanoon nikal lo but isliye batayi jarahi hai taki jab aap koi reel wagera jab kisi kism ki cheez ko hote huve dekhe to uspar sawal kar sake aur jo seerat e nabi shuru karni hai uski base bhi yahi hogi)

1 month, 3 weeks ago

Assalamwalaikum warahmatulahi wabarakatuh

Aaj koi specific topic nahi bas kuchh baate hai,current situation aur ummat ke halaat ke etebaar se!!

Sabse pehle to vahi cheez R@pe case jo kolkata me huva, ek bilkul inhuman si cheez thi ke almost puri body ke 2 parts kar diye ho!!!Autopsy report reel par viral ho hi rahi hai so ispe jyada baat nahi,lekin iske zariye kuchh baate hai vo zarur se kahunga!!

Pehle mukhatib hote hai hamare bhaio se ki,
Apni zindagi ko saaf va safaf rakho
Kya matlab??
Pure islam me khud ko dhakil karlo
Jo bhi R@pe ya koi bhi cheez hoti hai vo shuru hi nafs ki pairvi se hoti hai..
Aaj hamara haal yahi hai ki hum nafs ke gulam ban chuke hai
Clg me study ke alava kya karte hai hm??
Bas pubg,netflix sona khana aur kya???
Khuda na kare lekin agar aaj hi ke din ya is waqt agar muat aagayi to kya hum is kaabil hai ki qabr me jawaab de sake ya Allah ke saamne khade ho paaye??(mere liye bhi ye sawal hai ye sochna hai ispar thodi der)

Dusri Sabse jyada wahiyat aur besharmi wala kaam jo hum karte hai vo opposite gender se freely talking aur vahi bekaar labv laif baate.
Allah hifazat kare lekin aaj kal ke hamare naujawan esi cheez me apne waqt ka 80% istemal karte hai zara gor to kijye ke aap apna waqt kaha laga rahe hai.

Ab sister se mukhatib hona chahunga,
Pehli cheez to yahi ki kam se kam bahaar nikal na ho!!
Ab kuchh log bolege ki ham to room me hi rehte he, society kharab ho gyi he vagera vagera!!
Maanta hu ki abhi halat kharab he,aap sahi bhi ho aur room pe reh bhi rhe ho!! Aap kahoge ki hame q andar rehna?? Par abhi ke liye safety measure yhi he ki aap apni zaat ko bachate huve room pe rhe!! Because ye government(koi bhi ho) hamesha in khabiso ko bacha deti he!! Agar 10 saal tak bhi aap court me case ladogena!! Fir bhi hearing pe hearing denge,aur un khabiso ko chhod diya jayega!! Example aapke paas he hi:- Bilkis Banu case,Nirbhaya case,Unnaw case etc ..
Agar Islamic Law lagake inhe Faansi khule aam lagayi jaaye ya Qatal kiya jaaye tab jaake ye khabiso log(Animals kahu to Animals ki be izzati ho jayegi) tab jaake ye hawas ke pujari sudhrenge!!

So,abhi ke liye thodi ye baat maan kar apne aap ko bahri duniya ke khabiso se bachane ke liye room me hi rhe!!!

Dusri cheez ho sake to hijaab me hi ya pardah me hi bahaar nikla jaaye
Aur khususan raat me kahi bhi nikle va campus me idhar udhar 10 baje tak bethne se parhez kare khaas kar ke un jagaho par jo kone me ho
Kahi bahar janaa ho to location hamesha on rakhe va apni safety ka khayal rakhe,
Aur apni friends ko bolke rakhe ki me ja rhi hu aur itna time lagega!! Agar late ho turant call karna!! Aur nahi receive ho 2-3 call ke baad bhi,to saath me gyi friend ko lagaye!!

Aur aakhir aapse bhi wahi sawal ke kya socha hai khud ke liye wa apni aakhirat ke liye??
Baate bohot sari hai lekin agar likh di to koi kahega lamba choda msg hai and all!!

Maafi agar kuch bura laga hoto..

Jazakallah khair

1 month, 3 weeks ago

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :

?“Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do,_
Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon.”

(1). ?Jab Baat karo toh Sach Bolo.

(2). ?Jab Wadaa karo toh Poora Karo.

(3). ?Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.

(4). ?Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.

(5). ?Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho).

(6). ?Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho.

? [Ibn Habban] : 271 Ahmad : 5/323

2 months ago

Assalamwalaikum it's urgent do contribute share as much as you can
Do help needed 40k case is verified and is trusted by me

2 months ago
Birds of jannah~❤️‍??
2 months ago
Birds of jannah~❤️‍??
2 months ago

Assalamwalaikum warahmatulahi wabarakatu
Topic:- Overthinking and attachment

Aaj kal social media ke zamaane mai logo se raabta karna bahot aasan ho gaya hai..aap dekhe to aapke baap dada ne puri zindagi mai bhi itne log nahi dekhe honge jitne aap apne phone ki screen ko scroll karke aaj dekhte ho khair aaj kal Online friendship ka bhi bada trend hai Ek msg se ajnabi kab apna ho jaata hai pata hi nahi chalta aur fir uss shaks ko le kar humari bechainiyaan aur fikar iss hadd tak badh jaati hai ke hume dusro ka chhodo khud ka khayaal hi nahi hota iss bechaini ko Overthinking kehte hai
Psychology ke hisaab se overthinkers ka sabse bada masla ye hai ki jab wo kisi ke saath attached hote haina to wo iss qadar attached ho jaate hai ke unka saara mood agle bande par depend karta hai agle bande ke behavior mai halka sa change aa gaya na to phir pura din jo hai unka dil bechain rehta hai pura din zehen mai ye sawaal ghumta hai ke kya hua hoga ke wo shaks esa kyu kar raha hai...Ye cheezein aapke saath bhi hoti haina To mere azeezon apne emotions par kaabu karna sikho kyuki hum uss shaks ke pichey itna pagal ho jaate hai ki apna khayaal rakhna hi bhul jaate hai time se khaana na khaana harr second phone mai notifications check karna uski harr masrufiyat aur pareshani ki wajah khud ko samjhna ye sab ki wajah se aap apne gharwalo ke liye pareshaani ban jaate hai jaise aap uss shaks se 2,4 mahine mai itna attached ho gaye to un ghar walo ka socho jinhone aapko chote se bada kiya hai jinhone aapse kuch Umeedein lagaai hai aur aapki ye bechaini aur ye badla hua lehza unke liye pareshaani paida karta hai isliye apne aap ko masroof rakho offline logo mai waqt bitaao online raabton ko ek hadd tak mehdood rakho aur apne gharwalo ke saath waqt bitaao ammi abba ko apni first priority banaao unko aapki wajah se taqleef na ho iska khayaal rakho sukoon ke liye ibaadat karo namaaz padho aur dua karte raho.

Wo kisi ne kaha tha ke..

"Azeez utna hi rakho ke mann behal jaaye,
Ab iss qadar bhi na chaho ke dum nikal jaaye"

Jazak'Allah Khair

2 months ago

Assalamwalaikum warahmatulahi wabarakatu
Topic:-mohabbat ek azaab ya nemat

Aaj kal social media ka zamana hai aur har jagah aadmi kahi na kahi opposite gender se attrack hote hai wa kahi na kahi aunse mohabbat kar beth jaate hai
Phir msges par baat and baato baato me aadat lagjana aur jab baat chit band hojati hai tu phir allah se tawakkul uth jata hai?
Va allah par sawaal utha dete hai ab
Mere kuch sawal inse
1.Aapne opposite gender se baat chit shuru hi kyu ki??
2.agar aapne baat chit shuru ki aap ko ye baat malum honi chahiye ye online ka levishpan hai kabhi bhi khatam hai??
3.Allah taala se kyu be rukhi?? Jab ki galti aapki ke aapne apni zindagi shaitan ke behkave me aakar barbaad ki aur allah par bhotan laga rahe hai??

Dekhe mohabbat hona ye zindagi me hota rehta hai lekin is mohabbat ko allah ke qarib jaane ka zariya banao ho sake tu nikah varna baat band bina kaam khud ki aakhirat va duniya barbaad na karo...
Ek baat yaad rakhe
Aakhriat me pucha jaayega ke
Jawani kaha lagayi ???
Tu aap kya jawaab doge??
Socho apne aap se sawal karo khud ko Allah ke karib karo
Jazakallah khair
Maafi agar koi baat kadwi lagi ho?

2 months ago

As salaam alaykum
Hamare group mein ye jo messages aate hain inko likhne mein kaafi time aur mashakkat lagti hai
Inko likhne mein admin ko kaafi sambhal ke likhna padta hai aur accuracy aur credibility maintain karne ke liye research ko bhi achcha khasa time lagta hai
To aap sabhi logon se guzarish hai ke jab bhi kuch nasihat bhara message,koi hadees ya Quran ka mafoom, sahaba ka kissa, koi masla ya kuch bhi aaye to us par zarur bhi zarur kuch na kuch reaction diya karein
Isse hamare bhaiyon ko aur zyada motivation milega aur mazeed likhna ka bhi shauk hoga

We recommend to visit

FD GB GL DS

WE DO NOT SUPPORT BETTING

+919971691268- WATSAPP FOR MEMBERSHIP ONLY (4 JODI MAI GAME )?

Cricket casino mai satta KHELO..?
https://t.me/+VGiHMj_EkHmQgh3D

Last updated 1 year, 12 months ago

Tipping Only Those Country Where Betting Is legal...

Telegram Channel Link?
https://t.me/+mjW7I6DjNe0zMTZl

Telegram Username?

Contact? @ViyushSharmaOriginal

Last updated 1 month, 3 weeks ago

Last updated 7 months ago