???????? ? ?????

Description
?❤️?السلامُ علیکم رحمۃاللہ?❤️?

?❤️?ہمارے چینل پر قرآن اور حدیث کے بارے میں حوالہ کے ساتھ اور دینی مسلے کے بارے میں پوسٹ کیا
جائیگا?❤️?
We recommend to visit

Welcome to @UtkarshClasses Telegram Channel.
✍️ Fastest growing Online Education App ?
?Explore Other Channels: ?
http://link.utkarsh.com/UtkarshClassesTelegram
? Download The App
http://bit.ly/UtkarshApp
? YouTube?
http://bit.ly/UtkarshClasses

Last updated 2 months ago

https://telegram.me/SKResult
☝️
SK Result
इस लिंक से अपने दोस्तों को भी आप जोड़ सकते हो सभी के पास शेयर कर दो इस लिंक को ताकि उनको भी सही जानकारी मिल सके सही समय पर

Last updated 1 week, 2 days ago

प्यारे बच्चो, अब तैयारी करे सभी गवर्नमेंट Exams जैसे SSC CGL,CPO,CHSL,MTS,GD,Delhi पुलिस,यूपी पुलिस,RRB NTPC,Group-D,Teaching Exams- KVS,CTET,DSSSB & बैंकिंग Exams की Careerwill App के साथ बहुत ही कम फ़ीस और इंडिया के सबसे बेहतरीन टीचर्स की टीम के साथ |

Last updated 2 months ago

1 month, 4 weeks ago

**⌛-TIME MANAGEMENT-****

Part - 19
**?WAQT KA BEHTAREEN ISTEMAAL KE LIYE ZARURI TIPS (JARI):**

**? APNE AAP KA MUHASIBA KARE:**

Apne Guzre Huye Waqt Ko Dekhein Aur Usse Seekhe. Jin Logon Ne Apne Guzashta Waqt Se Sabak Liya, Woh Apne Haal Aur Mustaqbil Ko Behtareen Banate Hain. Jo Apna Muhasiba Nahin Karte, Woh Apni Galtiyo Par Barqaraar Rehte Hain.

**1️⃣*1️⃣ TAQDEER AUR MANSOOBO KO ALLAH ﷻ PAR CHHOD DE:***

Yeh Sach Hai Ke:

  • _"Taqdeer Ki Gaanth Mansubon Ke Nakhun Se Nahi Khulti,"_

Lekin Mansuba Zaroor Banaiye Aur Phir Sab ALLAH ﷻ Par Chhod Dijiye, Jo Taqdeer Aur Tadbeer Ka Malik Hai.

Aise Cheezo Se Door Rahiye Jo Aapke Ilm Mein Nahin Hain, Jaise:

  • _Kya Kal Aisa Hoga Ya Nahi?_
  • _Yeh Kaise Hoga?_

“Shaayad,” “Agar,” Aur Is Tarah Ke Alfaaz Istemaal Karne Se Bachiye, Kyun Ke Yeh Sirf Dil Ko Pareshan Aur Waqt Barbaad Karte Hain.

Apni Tamam Ulajhane Aur Mustaqbil Ke Mamlaat ALLAH ﷻ Ke Hawale Kar Dein. Shayad Kal Aisi Surat-e-Haal Ho Jo Aapke Sochon Me Bhi Nahi Thi.
ALLAH ﷻ Hi Behtareen Tadbeer Karne Wala Hai.

Yeh Nuskhen Aapke Din Ko Behtareen Aur Barkat Wala Bana Sakte Hain.

? Continue...

1 month, 4 weeks ago

*⌛-TIME MANAGEMENT-*

Part - 18

*? WAQT KA BEHTAREEN ISTEMAAL KE LIYE ZARURI TIPS (JARI):*

*7️⃣ SUBAH KE WAQT KA FAIDA UTHAYE:*

Apne Din Ka Shuruat Ka Waqt Sabse Behtareen Kamon Ke Liye Rakhein, Jaise Ke Subah Ke Awali Sa’at.

*? NABI PAAK ﷺ Ne Dua Farmayi:*

  • _"Ya ALLAH! Meri Ummat Ke Subah Ke Waqt Mein Barkat Ata Farma."_

?–(Tirmizi, vol. 3, p. 6, Hadith 1216)

Iska Matlab Yeh Bhi Hai Ke Deeni Aur Dunyawi Kam Jo Subah Ke Waqt Mein Kiye Jayen, Un Mein Barkat Ata Ho.

*8️⃣ WAQT KI PABANDI KA AHAM ROL:*

Daftar, Dukan, Ya Taleem Gah Jane Ka Waqt Ek Reerh Ki Haddi Ki Tarah Hai. Agar Reerh Ki Haddi Kamzor Ho Ya Uska Koi Hissa Apni Jagah Se Hile, To Sara Jism Mutasir Hota Hai. Isi Tarah, Waqt Par Pahunchne Ki Ahmiyat Zindagi Ke Har Shobay Mein Bohat Zaroori Hai.

*9️⃣ APNE TAJURBE KE MUTABIQ KAM KARE:*

Woh Kaam Karein Jo Aapki Skills Aur Tajurbe Ke Mutabiq Ho. Lekin Kaam Ko Mukammal Karne Aur Behtareen Banane Ke Chakkar Mein Intiha Pasand Na Baniye. Ek Arabi Maqoola Hai:

  • _"Koshish Humari Hai, Magar Kamyabi ALLAH Ke Hath Mein Hai."_

In Tips Par Amal Karke Apni Zindagi Ko Zyada Productive Banayein.

? Continue...

2 months ago

**✨ SAYYIDUNA HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ KI MUHTASAR SEERAT
(رضــی اللــہ عنــہ)

---
**? NAAM AUR NASAB:**
Aapka Asli Naam Abdullah Bin Usman Tha, Aur Aapke Walid Ka Naam Usman (Abu Qahafah) Tha. Aap Quraysh Qabeele Se Talluq Rakhte The.

**? LAQAB:**
Aap Ko “SIDDIQ” Ka Laqab NABI ﷺ Ne Mi’raj Ki Tasdiq Par Diya.

Qur'an Pak Me Aapko “ثَانِيَ اثْنَيْنِ” (Do Me Se Doosre) Farmaya Gaya.

**? ISLAM ME DAKHIL:
Aap Wo Pehle Mard Hai Jinhone Islam Ko Baghair Kisi Shak Ke Qubool Kiya Aur Apni Sari Doulat Islam Ke Liye Waqf Kar Di.
---
*⚔️ JANGO ME HISSA:***
Aap Hijrat Mein NABI ﷺ Ke Sath Rahe.

Har Badi Jung Me Shamil Rahe (Badr, Uhud, Hunain, Tabook).

Islam Ko Faaras Aur Room Tak Phela Kar Dushmano Ko Shikast Di.
---
**? AKHLAQ AUR AADAAT:**
Aap Apne Jawani Se Hi Sharaab Aur Jahalat Se Door Rahe.

Gareebo Ki Madad Aur Mazloom Ko Insaf Dilwane Me Mashhoor The.

Aap Buzurgo Ka Ehtram Karte, Bachho Se Muhabbat Karte Aur Apne Mulazimo Ka Kaam Khud Karne Me Fakhar Mehsoos Karte The.
---
**? WISAAL:
Aapka Wisaal 22 Jamadi us Sani 13 Hijri Me Hua Aur Aap NABI ﷺ Ke Pehlu Me Unke Roza Mubarak Me Dafn Hai.
---
?** Hazrat Abu Bakr Siddiq رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ki Zindagi Har Musalman Ke Liye Rahnuma Hai. Unke Akhlaq Aur Khidmat Ko Apni Zindagi Ka Hissa Banaye.

2 months ago

*⌛-TIME MANAGEMENT-*

Part - 13

*? WAQT KI AHMIYAT SAMJHIYE*

Bohat Saara Waqt Fazool Kaamon, Behas-o-Taqreer, Aur Ghibat Mein Zaya Hota Hai. NABI-e-KAREEM ﷺ Ne Irshad Farmaya:

  • _"Insaan Ke Din Ke Husn Mein Ye Baat Shamil Hai Ke Woh Behtareen Kaam Kare Aur Bezaroori Cheezon Ko Chhod De."_

(Ibn Maja, vol. 4, p. 344, Hadith 3,976)

? PEGHAM:

  • _Sehat Ki Qeemat Bimar Ko Pata Chalti Hai Aur Waqt Ki Qeemat Busy Log Samajhte Hain. Woh Log Jo Fursat Mein Hain, Waqt Ki Ahmiyat Ko Kese Samajh Sakte Hain?_

*✨ FUZOOL AUR ZAYA KARNAY WALE KAAM:*

  1. _Bed Se Uth Kar Bhi Late Tak Pade Rehna._

  2. _Bathroom Mein Zyada Waqt Guzarna._

  3. _Khana Khane Mein Had Se Zyada Waqt Lagana._

  4. _Aayine Ke Samne Fazool Der Tak Khud Ko Dekhna._

  5. _Raat Bhar Restaurants Mein Behas Karna._

  6. _Snacks Khate Rehna Aur Sports/Politics Par Fuzool Bahs._

*? NASEEHAT:*

Ibn Al-Jawzi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْـه Ne Farmaya:

  • _"Main Aise Logo Ki Sohbat Se Bachta Hoon Jo Waqt Zaya Karte Hain."_

(Qeemah al-Zaman Ind al-Ulama, p. 58)

*⏳ MUHASIBA KARAI:*

Waqt Ki Barkat Tabhi Aayegi Jab Fazool Aur Bezaroori Cheezon Se Bach Kar Ahem Aur Faida Mand Kaamon Mein Iska Istemaal Kiya Jaye. Yad Rahiye:

  • _"Sota Hua Insan Jagaya Ja Sakta Hai, Magar Jo Jage Hue Hain Aur Samajh Nahi Rakhte, Unhein Jagaana Mushkil Hai."_

? Continue....

2 months ago

*⌛-TIME MANAGEMENT-*

Part - 12

*? KAAM TAQSEEM KARE*

Agar Har Kaam Khud Karne Ki Koshish Karenge, Toh Na Sirf Thakan Hogi Balke Kaam Ki Behtari Par Bhi Asar Padega. Kaam Ko Chhote, Asaan Aur Mukhtalif Iqdamat Mein Taqseem Karna Zyada Asar Angez Hai. Apne Kaam Mein Taqseem-e-Kaar Ka Hunar Istemaal Kijiye Aur Kuch Kaamon Ko Dusron Ke Hawale Karne Se Ghabrayen Nahi.

*? SUNNAT SE TAALEEM:*

Hamare Pyare NABI ﷺ Ka Tariqa Yeh Tha Ke Kaamon Mein Taqseem Kar Ke Aamaliyat Badhayi Jati Thi.

  • Ghazwa-e-Khandaq Ke Dauran, Jab Khandaq Khudi Gayi, To Yeh Kaam Sahaba-e-Kiraam رَضِىَ الـلّٰـهُ عَـنْهُم Mein Taqseem Kiya Gaya. Pyare NABI ﷺ Bhi Is Kaam Mein Shamil Hue.

  • Safar Ke Dauran Jab Khana Pukhanay Ka Moqa Aaya, To AAP ﷺ Ne Kaam Ko Taqseem Kiya Aur Khud Lakdi Jama Karne Ki Zimmedari Li.

*✨ NATIJAH:*
Kaam Ko Taqseem Karna Sirf Waqt Aur Mehnat Bachata Hai Balke Kaam Ki Behtari Aur Jald Mukammal Honay Mein Madad Karta Hai. Apne Zimmedariyon Ko Baantne Mein Hi Samajhdari Hai.

? Continue...

2 months ago

*⌛-TIME MANAGEMENT-*

Part - 11

*? DUSRO KE TAJRUBAT SE SEEKHNA*

  • _Dusron Ki Ghaltiyon Se Seekhna Aqalmandi Hai. Agar Kisi Ka Amal Naakaam Raha Hai, Toh Us Raste Par Chalne Se Bachna Zaroori Hai. Isi Tarah, Agar Kisi Ne Mukhtalif Maydano Mein Kaamyabi Hasil Ki Hai, Toh Unke Tajarub Aur Mashwaron Se Faida Uthaiye. Un Logon Ki Kitaabein Padhiyen Aur Unki Guftagu Sun Kar Apne Ilm Aur Amal Mein Izafa Kijiye._

*? MUTAQADDIMIN (PROMINENT FIGURES) SE MASHWARA LIJIYE*

  • _Aap Jis Maydan Mein Kaam Kar Rahe Hain, Us Maydan Ke Mumtaz Afsar, Aalimeen Aur Kaamyab Shakhsiyaat Ke Tajurubat Ka Ghair-e-Mamooli Faida Ho Sakta Hai. Bade Buzurg, Jaise Aapke Asaatiza, Aalimeen, Tajir, Dada, Ya Walid Sahib Ke Tajaruba Aapke Liye Mash’al-e-Rah Ban Sakte Hain._

*? ARABI MAQOOLAH:
_اَکْثَرُ مِنْکَ سِنًّا اَکْثَرُ مِنْکَ تَجْرِبَۃً_

  • _"Aksar Tumse Bade Umar Wale, Tumse Bade Tajurba Rakhte Hain."_

Seekhne Wala Woh Hai Jo Na Sirf Apni Ghaltiyon Se, Balki Dusron Ke Tajurubon Se Bhi Seekhe. Har Ek Ka Tajaruba Zindagi Ka Ek Khazana Hai, Aur Is Khazane Se Faida Uthana Hi Samajhdari Hai.

? Continue...

5 months ago
5 months ago
5 months ago

"वहाबी और अहले हदीस जमात को गुस्ताखे रसूल क्यों कहा जाता है..?
_हिंदुस्तान में सबसे पहले अल्लाह और नबी की शान में शरीयतें मुताहरा में तहरीर गुस्ताखी करने वाले लोग और उनके फिरके।_
--------------------------
(1) अल्लाह की मक्कारी, धोखे से डरना चाहिये, अल्लाह बन्दों से भी मक्कारी करता है।
_(तकवेतुल ईमान पेज नंबर 76, मौलवी इस्माईल देहलवी,अहले हदीस)_
--------------------------
(2) नमाज में नबी का ख्याल लाना अपने गधे (donkey) बैल के ख्याल में डूब जाना से ज्यादा बदत्तर है।
_(सिरात ऐ मुस्तकीम पेज नंबर 118 मौलवी इस्माईल देहलवी, अहले हदीस)_
--------------------------
(3) हुजूर के बाद भी कोई नबी आ जाये तो भी हुजूर के आखरी नबी होने पर फर्क नहीं पड़ेगा।
_(तहजिरुन नास पेज नंबर 14 मौलवी कासिम ननोतवी, देवबंदी)_
--------------------------
(4) उम्मती अमल (नमाज, रोजा, हज, नफिल, इबादतों में नबी से बढ़ जाते है।
_( तहजिरुन नास पेज नंबर 5 मौलवी कासिम ननोतवी, देवबंदी)_
--------------------------
(5) सहाबा को काफिर कहने वाला, मुसलमान से ख़ारिज नहीं होगा।
_(फतावा ऐ रशीदिया जिल्द नंबर 2 पेज नंबर 11 रशीद अहमद गंगोही, देवबंद)_
--------------------------
(6) नबी से ज्यादा इल्म शैतान को है, जो ज्यादा इल्म नबी का बताये वो मुशरिक है।
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 55 मौलवी खलील अहमद अमबेठी देवबंदी)_
--------------------------
(7) अल्लाह तआला झूठ बोलता है (मुमकिन)
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 273 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
(8) नबी का मिलाद करना, कृष्ण का जन्म दिन मनाने की तरह है।
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 152 मौलवी खलील अहमद, देवबंदी)_
--------------------------
(9) हुजूर ने उर्दू जुबान मदरसा ऐ देवबंद में ओलेमा ऐ देवबंद से सीखी।
_(बराहिनुल कतिआ पेज नंबर 30 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
(10) हुजूर को दीवार के पीछे का भी इल्म नहीं।
_(बराहितुल कतिआ पेज नंबर 55 मौलवी खलील अहमद अमबेठी, देवबंदी)_
--------------------------
(11) नबी का जो इल्म ऐ ग़ैब है इसमें हुजूर का क्या कमाल, ऐसा तो इल्म ऐ ग़ैब हर किसी को, हर बच्चे, पागलों और जानवरों को भी है।
_(हिफजुल ईमान पेज नंबर 8 मौलवी अशरफ अली थानवी, देवबंदी)_
--------------------------
(12) हाथ में कोई नापाक चीज (खून, पेशाब, पखाना, मनी) लग जाये तो किसी ने जुबान से तीन मर्तबा चाट लिया तो पाक हो जायेगा।
_(बहेस्ती जेवर जिल्द 2 पेज नंबर 18 मौलवी अशरफ अली थानवी, देवबंदी)_
--------------------------
(13) ख्वाजा गरीब नवाज या कोई वली के मजार पर जाना इतना बड़ा है जैसे किसी लड़की से जिना करने से भी बड़ा गुनाह है।
_(तजदीद ओ ऐहया ए दीन पेज नंबर 96 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी S-I-O, S-I-M)_
--------------------------
(14) सब जगह अल्लाह के रसूल अल्लाह की किताब लेकर आये है, और बहुत मुमकिन है कि (बुद्ध, कृष्ण, राम, मानी(Maani), सुकरात, Fisa goras(फिसा गोरास)) इन्हीं रसूलों में से है।
_(तफहिमात जिल्द 1 पेज नंबर 124 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी S-I-M, S-I-O )_
--------------------------
(15) झूठ, जुल्म, और तमाम बुराईयाँ जैसे (चोरी, जहालत, जिना, गीबत) करना अल्लाह के लिये कोई ऐब नहीं।
_(जहदुल-मकल जिल्द 3 पेज नंबर 77 मौलवी अबू आला मौदूदी, जमात ऐ इस्लामी, S-I-M, S-I-O )_
--------------------------
"दिल पर हाथ रख कर और सोच कर सही बताओ, क्या ये सच में मुसलमान है..?
--------------------------
_"मुसलमानों वहाबियों से अपना ईमान बचाओ"""""_
--------------------------
??नोट-->" माजअल्लाह, माजअल्लाह
" रब्बे करीम से हिदायत मांगो....
"बेशक वो दुआ को कबूल करने वाला रहमान है।
" अभी वक्त है और तौबा का दरवाजा खुला है फिर हशर में ना कहना हमें खबर नहीं थी।

5 months, 1 week ago

*? आंखें कभी न दुखें*

☆ مَرْحَبًا بِحَبِيبِي وَقُرَّةُ عَيْنِي مُحَمَّدِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ

☆ हज़रते सय्यिदुना इमामे हसन (رضــی اللــہ عنــہ) से रिवायत है, जो शख्स मुअज्जिन को
أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ الله
कहता सुन कर येह कहे और अपने अंगूठे चूम कर आंखों से लगाए तो न कभी वोह अन्धा होगा न ही कभी उस की आंखें दुखेंगी ।

*?–(الْمَقَاصِدُ الْحَسَنَه ص ۳۹۱)'

We recommend to visit

Welcome to @UtkarshClasses Telegram Channel.
✍️ Fastest growing Online Education App ?
?Explore Other Channels: ?
http://link.utkarsh.com/UtkarshClassesTelegram
? Download The App
http://bit.ly/UtkarshApp
? YouTube?
http://bit.ly/UtkarshClasses

Last updated 2 months ago

https://telegram.me/SKResult
☝️
SK Result
इस लिंक से अपने दोस्तों को भी आप जोड़ सकते हो सभी के पास शेयर कर दो इस लिंक को ताकि उनको भी सही जानकारी मिल सके सही समय पर

Last updated 1 week, 2 days ago

प्यारे बच्चो, अब तैयारी करे सभी गवर्नमेंट Exams जैसे SSC CGL,CPO,CHSL,MTS,GD,Delhi पुलिस,यूपी पुलिस,RRB NTPC,Group-D,Teaching Exams- KVS,CTET,DSSSB & बैंकिंग Exams की Careerwill App के साथ बहुत ही कम फ़ीस और इंडिया के सबसे बेहतरीन टीचर्स की टीम के साथ |

Last updated 2 months ago