Official Telegram Channel by Sarkari Result SarkariResult.Com
Welcome to this official Channel of Sarkari Result SarkariResult.Com - On this page you will get all the updated information on Sarkari Result website from time to time.
Last updated 1 month ago
?Only Current Affairs English & Hindi Medium.
Contact @GKGSAdminBot
Channel Link- https://t.me/+wytqxfcVInNjN2E1
By Chandan Kr Sah
Email- [email protected]
Must Subscribe Us On YouTube - https://youtube.com/channel/UCuxj11YwYKYRJSgtfYJbKiw
Last updated 1 year, 8 months ago
✆ Contact 👉 @Aarav723
#UPSC, #SSC , #CGL #BPSC #STATE #PET #Banking, #Railway, #Mppsc, #RRB, #IBPS, #Defence, #Police, #RBI etc.
🇮🇳This Channel Has Been Established With The Aim Of Providing Proper Guidance To Youths Preparing For All Govt Exam
Last updated 1 week ago
NAMAZ KE LIYE MASJID TAK PAIDAL CHAL KAR JAANE KA SAWAAB ✨
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jis ne apney ghar me wuzu kiya aur phir Allah ke ghar me se kisi ek ghar ki taraf chal kar gaya Allah ke farzo me se ek farz ada karne ke liye, us ke dono qadam (aham honge) kyunke ek gunah ko mita dega aur dusra us ka darja ek darja buland kar dega."
?: Sahih Muslim 666 (1521)
Nabi (ﷺ) ne farmaya:
"Raat ke andhero me masjidon ki taraf chal chal ke aane walo ko khushkhabri de do ke qayamat ke din (un ko) muqammal (kamil) noor diya jayega."
?: Sunan Abi Dawud 561 | Sahih
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jis waqt banda apney ghar se masjid ki taraf nikalta hai to ek kadam par ek neki likhi jaati hai aur dusrey kadam par ek burai mita di jaati hai."
?: Sunan an-Nasa'i 706 | Sahih
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo shaks har subha aur shaam me (ba-jamaat namaz ke liye) baar baar masjid aata jaata hai, us ke liye Allah Ta’ala jannat me acchi mehman nawazi ke saath ba-waqar jagah tayyar karte hain, har subha aur shaam ke waqt jab wo (masjid me) aata jaata hai."
?: Sahih Bukhari 662
Shaykh Saleh al-Fawzan (حفظه الله):
"Log namaz nahi padhte aur kehte hain ke mazhab dil me hai. Agar wo waqiye dil me hota to wo namaz zarur padhte."
?: Ithaf al-Tullab, p. 536.
*? YAAD DAHANI*
Kya tum janty nhi k duayain naseeb ka muqabla krny ki qudrat rakhti hain? Or vo duayain to naseeb sy bhi zyada taqatwar hoti hain jo bar bar dohrai jati hain, jinka tasalsul waqt k sath barhta chala jata hay. Isliye jab koi cheze tumhary naseeb ka hissa nhi hoti to Allah tumhy us cheze ko apna bannay k liye waqt deta hy ta k tum usy itna mango, itna mango k naseeb vo cheze tumhy deny py majbur ho jaye, is tarhan Allah tumhari duaon ko naseeb py fatah deta hy. Dua Allah ki raza ka hissa hy or agr tumhari duayain qabool na honi hoti'n to Allah duaon ki janib tumhara dil ku pherta? Tawakul rakho! Ku k tawakul krny walo k liye Allah na-mumkin zariyon sy esy na-mumkin moujzy lata hy jinhain dekh kr aqal dhang reh jati hay. Tumhari duayain ya to tumhari zindagi badal dain gi ya phr tumhy badal dain gi, magar rayega kabhi nhi jayain gi, Yehi tumhary Allah ka tumsy ye wada hay.
_*? Y A A D D A H A N I*_
IZZAT E NASF KI HIFAZAT KEEJIYE
Aayen Samjhte hain ke Izzat e Nafs kya hai !!!!
IZAT E NAFS jis ko aatmi samman bhi kehtay hai aek aesi cheez hai jo insani wujood ko zinda rekhti hai. Baz dafa hum loug kya krtay hai k hum muhabatu ke chakar me, doosiru ko khush karney Kay chakar me apney aap unke pairu takay kuchal dalte hai aur ye bhool jatay hai k hamara bhi koyi wujood hai.
Aur is sb ki waja se hum khud ko kho dtey hai.
Jab ap apni izzat khud nai kray gay koyi aur bhi apki izzat nai karay ga.
Is liye yaad rakhiye apki izzat e nafs apki muhabatu se uper aur apke khud ke dil se bhi uper honi chahiye.
Kisi ki Zindagi mein rehne ke liye bheek nahi maange, jinhay rehna hai wo reh jaye gay aur jo Jana chahitay hai wo chalay jaye gay ap unhay nai rouk skte.
Baat karen, apna daman saaf rakhen aur agr phr bhi nazar andaaz hon, tou khamoshi se ek taraf ho jaye, kuyn ki jinhay samjna hota hai wo aek bar me samj jatay hai wo bar bar apko majboor jai krtey kisi bhi cheez ke liye.
Bus isi ko izzat e nafs kehte hain!!
Khayaal rakhiye, khush rahiye.
*? Y A A D D A H A N I*
Logo'n ne Saara Deen Taveez Gande me Samajh liya hai aur unka Khayal ye hai k Duniya ki Koi Garz Esi na ho Jiska ilaaj koi Taveez na ho, Chuna'che unko Har kaam ke Liye ek Taveez chahiye, Fala'n kaam nahi ho raha, uske Liye kya Wazifa padhu ? Fala'n kaam ke liye ek Taveez de de'n Lekin hamare Akaabir ne aitdaal ko malhooz rakha k Jis Had tak Huzoor ﷺ ne Amal kiya Us Had tak un per Amal kare'n, Ye nahi k Din Raat Aadmi yahi kaam karta rahe aur Deen aur Duniya ka Har kaam Taveez Gande ke Zariye kare, Ye baat galat hai, asal baat yahi hai ki taweez ke zariye say apka koyi kam nai ho skta, jab Allah chahay tab ho skta hai bas.
Agar ye Amal Durust hota to Fir Sarkare Do Aalam ﷺ Mushrikeen per koi esi Jhaad Foo'nk karte k Wo Sab Huzoor ﷺ ke Qadmo me aa kar dher ho jate, Aap ﷺ ne is Jhaad Foo'nk per Kabhi bhi Amal nai kiya hai.
Taveez Gande aur Jhaad Foo'nk karna na ibaadat hai aur na us per Sawab ulta ye sab apko shirk me mubtala kr deta hai, Yaad rakhiye ! Ruqiyah ke Zariye ilaaj jaa'iz hai magar ye ibaadat nahi,
Ye jhaad Foo'nk aur ye Taveez koi ibaadat nahi balki shirik e kabeera aek bada samandar hai, is per koi Ajro Sawab murattab nahi hota,
Lihaza apney ap ko is gunah se bachaye.
? Y A A D D A H A N I
Insaan Ki Yaad Daasht Chahe Kisi Chehre Ko Mehfooz na rakhe Magar Achchhe Bure Sulook Ko Zaroor Mehfooz rakhti Hai Lihaza Logo'n Ke Saath Esa Husne Sulook Karo K Jab Jab Aap Kisi Ko Yaad aaye'n Aapke Liye Dil Se Dua nikle.
MISS UNDERSTANDING
•┈┈┈┈••┈┈┈┈•
Ghalat Fehmi Door Karne Ka Ahem Tariqa Baat Cheet Aur Guftagu Hai Magar Afsos Ham Ghalat Fehmi Paida Hone Ke Baad Sab Se Pehle Isi Darwaze Ko Band Kar Dete Hai..
Jis Se Ghalat Fehmi Paida Huyi Us Waqt Us Ke Pass Jakar Thande Dimagh Se Khul Ker Baat Kejiye Aur Apni Baat Rakhiye, Aapki Ghalat Fehmi Door Ho Jaye Gi Aur Masa'yel Khatam Hojaye Ge..*
•┈┈┈••┈┈┈••┈┈┈•
Chehre par maarna durust nahi❗️
✨Nabi ﷺ ne farmaya :
إِذَا قَاتَلَ أَحَدُكُمْ فَلْيَجْتَنِبِ الوَجْهَ
"jab koi kisi se jhagda kare to Chehre (par marne) se parhez kare"
?-[Sahih Bukhari : 2559]
Tashriq Ke Dino Me ROZA RAKHNE KI IJAZAT NAHI ?
• Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain.
Aisha (رضي الله عنها) aur Ibn Umar (رضي الله عنهم), dono ne bayan kia ke:
"Kisi ko ayam tashriq me roza rakhne ki ijazat nahi sirf us ke alawa jis ke liye qurbani karna mumkin nahi."
?: Sahih Bukhari 1998
Ayam tashriq ke dino me roza rakhna haram hai, chahe wo nafil roza ho ya farz roza, siwaye un hajiyo ke jinhein qurbani ke liye janwar na mile. Ye khane, peene aur Allah ka zikr karne ke din hai.
تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا وَمِنكُم
Taqabbalallahu Minna Wa Minkum.
May ALLĀH ﷻ Accept From Us And From Uh"
Official Telegram Channel by Sarkari Result SarkariResult.Com
Welcome to this official Channel of Sarkari Result SarkariResult.Com - On this page you will get all the updated information on Sarkari Result website from time to time.
Last updated 1 month ago
?Only Current Affairs English & Hindi Medium.
Contact @GKGSAdminBot
Channel Link- https://t.me/+wytqxfcVInNjN2E1
By Chandan Kr Sah
Email- [email protected]
Must Subscribe Us On YouTube - https://youtube.com/channel/UCuxj11YwYKYRJSgtfYJbKiw
Last updated 1 year, 8 months ago
✆ Contact 👉 @Aarav723
#UPSC, #SSC , #CGL #BPSC #STATE #PET #Banking, #Railway, #Mppsc, #RRB, #IBPS, #Defence, #Police, #RBI etc.
🇮🇳This Channel Has Been Established With The Aim Of Providing Proper Guidance To Youths Preparing For All Govt Exam
Last updated 1 week ago