Sharing Ilm - Roman Urdu

Description
Qurโ€™an aur Hadees Roman Urdu Me!

๐Ÿ”—: https://linktr.ee/manhajofthesalaf
Advertising
We recommend to visit

FD GB GL DS

WE DO NOT SUPPORT BETTING

+919971691268- WATSAPP FOR MEMBERSHIP ONLY (4 JODI MAI GAME )?

Cricket casino mai satta KHELO..?
https://t.me/+VGiHMj_EkHmQgh3D

Last updated 2ย Jahre, 2ย Monate her

Last updated 9ย Monate, 2ย Wochen her

ื ื˜ื• ื‘ื“ื™ื—ื•ืช - ืขืจื•ืฅ ื”ื‘ื“ื™ื—ื•ืช ืฉืœ ื™ืฉืจืืœ ื‘ื˜ืœื’ืจื โ˜‘

ืขืจื•ืฅ ื”ื”ื•ืžื•ืจ ืขื ื”ืงื•ืžื“ื™ื•ืช ื”ื›ื™ ืžืฆื—ื™ืงื•ืช ๐Ÿ˜‚ื•ืกืคื™ื™ืฉืœื™ื ืงื•ืจืขื™ื ืžืฆื—ื•ืง!๐Ÿคช

ื‘ืื ื• ืœื”ืคื™ื’ ืืช ื”ื“ื™ื›ืื•ืŸ ื•ืœื”ืจื™ื ืืช ื”ืžื•ืจืœ.

ืœื™ื ืง ืœืขืจื•ืฅ โ†™๏ธŽ
https://t.me/NetoJokes
ืœื™ื ืง ืœืงื‘ื•ืฆื” โ†™๏ธŽ
https://t.me/JokesNeto

Last updated 2ย Wochen, 1ย Tag her

3ย months, 2ย weeks ago

?โœจ

Hatim al-Assam (ุฑุญู…ุฉ ุงู„ู„ู‡) ne kaha:

"Mai ne Allah ki makhlooq ko dekha or ye jaana ke har insaan ke paas koi na koi esi cheez hai jo usey bohot mehboob hai lekin wo insaan jab qabr me jayega to us ki wo mehboob cheez us se juda ho jayegi. Is liye mai ne apney nek amaal ko apni sab se mehboob cheez bana liya, is umeed ke saath ke jab me qabr me jaunga to ye mere saath hon."

?: Mukhtasar Minhaj al-Qasideen, pg 12

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Mayyat ke saath teen cheezein chalti hain, do wapas aa jaati hain (dafan ke baad) aur ek us ke saath rehti hai. Us ke saath us ka rishtadaar, us ka maal aur us ka amal chalta hai; rishtadaar aur maal to wapas aa jaate hain, jab ke us ka amal us ke saath baaki reh jaata hai."

?: Sahih Bukhari 6514

3ย months, 3ย weeks ago

#RozKeAzkar #Zikr

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Zameen par jo koi bhi kahe:

ยซ ู„ุงูŽ ุฅูู„ูŽู‡ูŽ ุฅูู„ุงูŽู‘ ุงู„ู„ูŽู‘ู‡ู ูˆูŽุงู„ู„ูŽู‘ู‡ู ุฃูŽูƒู’ุจูŽุฑู ูˆูŽู„ุงูŽ ุญูŽูˆู’ู„ูŽ ูˆูŽู„ุงูŽ ู‚ููˆูŽู‘ุฉูŽ ุฅูู„ุงูŽู‘ ุจูุงู„ู„ูŽู‘ู‡ู ยป

(La ilaha illal lah, wa-Allahu akbar, wa-la hawla wa la quwwata illa billah)

Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, aur Allah sab se bada hai, aur Allah ke siwa (kisi kaam ke karne ki kisi me) naa koi takat hai aur naa quwwat

to us ke (chotey aur mamooli) gunah maaf kar diye jayenge, chahe wo samundar ke jhaag ke barabar hi kyun naa ho."

?: Jami at-Tirmidhi 3460 | Hasan

PDF: drive.google.com/drive/folders/1-B8hlc49z8alTfPsDhOw7d-iVqFKsqHB

3ย months, 3ย weeks ago

#AcchiAdat Namaz Ke Baad Uthne Me Jaldi Naa Karen โ˜?****

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Jab tak tum apne musalla par jahan tum ne namaz padhi thi, bethe raho aur riyah kharij naa karo to farishte tumhare liye duaa karte rehte hain. Kehte hain: 'Eey Allah! is ki maghfirat kijiye, aey Allah! is par rehem kijiye.'"

?: Sahih Bukhari 445

6ย months, 1ย week ago

Tashriq Ke Dino Me ROZA RAKHNE KI IJAZAT NAHI ?**

โ€ข Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain.**

Aisha (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡ุง) aur Ibn Umar (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡ู…), dono ne bayan kia ke:

"Kisi ko ayam tashriq me roza rakhne ki ijazat nahi sirf us ke alawa jis ke liye qurbani karna mumkin nahi."

?: Sahih Bukhari 1998

Ayam tashriq ke dino me roza rakhna haram hai, chahe wo nafil roza ho ya farz roza, siwaye un hajiyo ke jinhein qurbani ke liye janwar na mile. Ye khane, peene aur Allah ka zikr karne ke din hai.

6ย months, 1ย week ago

TASHRIQ KE DIN โœจ**

โ€ข Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain.**

Allah Ta'ala ne Qur'an me farmaya, ayat 2:203: "Aur Allah ka zikr in ginti ke chand dino me karo."

Abdullah bin Umar (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡ู…) aur baaz ulema ka qawl yahi ke ke is se muraad Tashriq ke din hain.

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Ayam tashriq khane peene aur Allah Ta'ala ke zikr ke din hain."

?: Sahih Muslim 1141 (2677, 2678)

Rasool Allah (๏ทบ) ne ayam tashriq (11, 12 aur 13 Dhul Hijjah) me khutba diya aur (us khutbe ke dauran me) farmaya:

"Jannat me sirf musalman hi dakhil hoga, aur ye (ayam tashriq) khane aur peene ke din hain."
?: Sunan Ibn Majah 1720 | Sahih

6ย months, 1ย week ago

ARAFAT KA DIN โœจ****

Umar bin Khattab (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡) se riwayat hai, ek yahoodi ne un se kaha: "Aey Ameer ul Momineen! Aap ki kitaab (Qur'an) me ek ayat esi hai jise aap (musalman) padhte rehte hain, agar wo ayat hum yahoodiyo par nazil hoti to hum us (ke nazawil ke) din ko yaum eid (eid ka din) bana lete."

Umar (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡) ne pucha: "Wo konsi ayat hai?"

Yahoodi bola:

ยซ ุงู„ู’ูŠูŽูˆู’ู…ูŽ ุฃูŽูƒู’ู…ูŽู„ู’ุชู ู„ูŽูƒูู…ู’ ุฏููŠู†ูŽูƒูู…ู’ ูˆูŽุฃูŽุชู’ู…ูŽู…ู’ุชู ุนูŽู„ูŽูŠู’ูƒูู…ู’ ู†ูุนู’ู…ูŽุชููŠ ูˆูŽุฑูŽุถููŠุชู ู„ูŽูƒูู…ู’ ุงู„ู’ุฅูุณู’ู„ูŽุงู…ูŽ ุฏููŠู†ู‹ุง ยป

"Aaj Maine tumhare liye tumhara deen kamil kar diya aur tum par Apni nemat puri kar di aur Deen Islam ko tumhare liye pasand kar liya." (5:3)

Umar (ุฑุถูŠ ุงู„ู„ู‡ ุนู†ู‡) ne kaha: "Hum us din aur us muqaam ko jaante hain jis me ye ayat Nabi (๏ทบ) par nazil hui. Ye ayat Jumah ke din utri jab Aap (๏ทบ) Arafat me khade the (yaani hajj ke din)."

?: Sahih Bukhari 45

6ย months, 1ย week ago

#AcchiAdat

Baqaidagi se acche kaam/amaal karne ki adat banayen kyunki aap ko un ka us waqt bhi ajar milega jab aap kisi munasib wajah ki wajah se un par amal nahi kar sakenge.

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Jab (Allah ka koi) banda beemar hota hai ya safar karta hai to us ke liye un tamam ibadat ka sawaab likha jaata hai jinhe ghar me ya sehat ke waqt wo kiya karta tha."

?: Sahih Bukhari 2996

6ย months, 2ย weeks ago

Rasool Allah (๏ทบ) ne farmaya:

"Koi din ese nahi jin me kiya hua amal Allah ko in dino (me kiye hue amal) se zyada mehboob ho." yaani Dhul Hijjah ke pehle das dino me.
?: Sunan Ibn Majah 1727 | Sahih

We recommend to visit

FD GB GL DS

WE DO NOT SUPPORT BETTING

+919971691268- WATSAPP FOR MEMBERSHIP ONLY (4 JODI MAI GAME )?

Cricket casino mai satta KHELO..?
https://t.me/+VGiHMj_EkHmQgh3D

Last updated 2ย Jahre, 2ย Monate her

Last updated 9ย Monate, 2ย Wochen her

ื ื˜ื• ื‘ื“ื™ื—ื•ืช - ืขืจื•ืฅ ื”ื‘ื“ื™ื—ื•ืช ืฉืœ ื™ืฉืจืืœ ื‘ื˜ืœื’ืจื โ˜‘

ืขืจื•ืฅ ื”ื”ื•ืžื•ืจ ืขื ื”ืงื•ืžื“ื™ื•ืช ื”ื›ื™ ืžืฆื—ื™ืงื•ืช ๐Ÿ˜‚ื•ืกืคื™ื™ืฉืœื™ื ืงื•ืจืขื™ื ืžืฆื—ื•ืง!๐Ÿคช

ื‘ืื ื• ืœื”ืคื™ื’ ืืช ื”ื“ื™ื›ืื•ืŸ ื•ืœื”ืจื™ื ืืช ื”ืžื•ืจืœ.

ืœื™ื ืง ืœืขืจื•ืฅ โ†™๏ธŽ
https://t.me/NetoJokes
ืœื™ื ืง ืœืงื‘ื•ืฆื” โ†™๏ธŽ
https://t.me/JokesNeto

Last updated 2ย Wochen, 1ย Tag her