🧊🧊 تَگری مثل کوکا 🧊🧊
تعرفه تبلیغات: @coca_memetab
Last updated 5 months, 1 week ago
𝗚𝘂𝗶𝗱𝗮𝗻𝗰𝗲 is not attained except with 𝗸𝗻𝗼𝘄𝗹𝗲𝗱𝗴𝗲 @madrasatuna
Vocab:
@mufradaatun
Sister's:
@womensbenefits
Manhaj:
@almanhajussalafi
Ruqyah:
@ruqyachannel
𝙔𝙏. https://youtube.com/c/Madrasatuna
𝐄𝐦𝐚𝐢𝐥: [email protected]
Last updated 4 months ago
ما خوده چارتیم ?
لینک چنل گپ ?
https://t.me/Crypto_Shahann
لینک پیج اینستاگراممون ?
http://Instagram.com/crypto_shahan
لینڪ کانال ?
https://t.me/Cryptoo_shahan
لینڪ کانال آموزشیمون ?
https://t.me/amozeshi_shahan
ارتباط با ادمین ?
@Shahan_1367
Last updated 1 year, 3 months ago
Musalman Apni Hifazat Kaise Karein?
Ek musalman hone ki haisiyat se islami shinaakht (pehchan) ki hifazat kewal islami taalimat par Amal kar ke ki ja sakti hai, court kachaharee me case ladne se nahi. Musalmano ko Nusrat aur madad, kasarat e adad (alot of people) aur shor - sharaba se nahi hoti balki Emaan aur neq kamo ki buniyad par hoti hai.
Agar tum Allah ki madad karoge (yani uske Deen par Amal karoge) tab Allah tumhari madad karega.
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
Tum Shariyat ilahi ki hifazat Karo to Allah tumhari hifazat karega.
Sochne ki baat
Gair Muslim sochte hai ki musalmano ke liye daadhi jaruri nahi hai kyoki jyadatar Musalmano ki daadhi nahi hai.
Unhe lagta hai ki Muslim Auraton ke liye hijab jaruri nahi hai kyoki jyadatar Muslim Auraten hijab nahi pehanti
Ho sakta hai ki kal yah bhi kaha jaye ki Namaz jaruri nahi hai kyoki jyadatar Musalman Namaz nahi parhte.
Phir Qur'an ki baari hogi ki Qur'an jaruri nahi hai kyoki jyadatar Musalman Qur'an nahi parhte.
Asal baat yah hai ki gair Musalman khud kuch samajh nahi rahe hai, balki hum unhe apni be Amli jindagi se samjha rahe hai ki islami taalimat aur Ahkaam humare liye itne Aham nahi hai, yahi wajah hai ki islami taalimat par Amal karne ki aazadi chhini ja rahi hai.
Jo apni shinaakht (pehchan) ki hifazat karta hai uski pehchan bani rahti hai.
Gairo ka aetraz ka jawab hume kitab sunnat par Amal karke Dena chahiye, aur Amal karne ke liye hume kitab wa sunnat ki taalim hasil karni hogi. Allah ki madad pane ke liye hume Allah wala Banna hoga, hume uski baat manni hogi yani ita'at karni hogi.
Allah ne farmaya
مَن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعِزَّةَ فَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ جَمِيعًاۚ (35:10)
Jo koi izzat chahta ho, use maalum hona chahiye ki izzat sari ki sari Allah ki hai.
وَتُعِزُّ مَن تَشَاءُ وَتُذِلُّ مَن تَشَاءُ ۖ
Jise chahe izzat de aur jisko chahe ruswa kar de.(3:26)
أَیَبۡتَغُونَ عِندَهُمُ ٱلۡعِزَّةَ فَإِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِیعࣰا ( 4:139
Halanki izzat to sari ki sari Allah hi ke liye hai.
majakoora aayaton ( Qur'an 35:10, 3:26, 4:139) ke mefhoom ka khulasa yahi hai ki izzat ka maalik Allah hai. Jo koi apne Rab ki, Nabi ki, Qur'an ki, Hadees ki izzat karega aur Shariyat par Amal karega use hi Izzat naseeb hogi. Warna Allah beniyaaj hai, ( use koi jarurat nahi) sari duniya bhi kufr ikhtiyar kar le to Rab ki Azmat wa kibryaee ( magnificence, glory & greatness) me farq nahi padega.
قربانی کی فضیلت
عن زيد بن ارقم رضى الله عنه قال :قال اصحاب رسول الله:يا رسول الله! ما هذه الاضحى ؟قال: سنة ابيكم ابراهيم عليه السلام ،قالو:فمالنا فيها يا رسول الله ؟قال:بكل شعرة حسنة ،قالو: فالصوف ؟يارسول الله!قال بكل شعرة من الصوف حسنة ؛-(ترمذى)
ترجمہ: حضرت زید بن ارقم رضی اللّٰہ عنہ راوی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے صحابہ رضی اللّٰہ عنہم نے دریافت کیا کہ یا رسول اللہ!یہ قربانی کیا ہے ؟ فرمایا تمہارے باپ ابرہیم علیہ السلام کا طریقہ (یعنی ان کی سنت )ہے ،صحابہ نے عرض کیا کہ پھر اس میں ہمارے لیے (اجر وثواب)ہے ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:(جانورکے)ہر بال کے بدلے ایک نیکی ،انہوں نے عرض كيا کہ (دنبہ وغیرہ اگر ذبح کریں تو انکی ) اون (میں کیا ثواب ہے ؟) فرمایا:کہ اون کے ہر بال کے بدلے ایک نیکی ؛-
Allah se Talluq kaise Qayam Karen? Allah se Talluq ki Ahmiyat Sabse pehli cheez jiske bare me hume Nabiyon, Khulfa E Rashideen aur Ummat ke Neq logon ne hume kadam kadam par bataya hai, wah ye ki hum Allah pak se dare aur uski Muhabbat dil me bithaiye…
Allah se Talluq kaise Qayam Karen?
Allah se Talluq ki Ahmiyat
Sabse pehli cheez jiske bare me hume Nabiyon, Khulfa E Rashideen aur Ummat ke Neq logon ne hume kadam kadam par bataya hai, wah ye ki hum Allah pak se dare aur uski Muhabbat dil me bithaiye aur uske sath apna Talluq Qayam Karen.
Allah se Talluq muqaddam aur sabse upar hai Ibadat me Allah se Dil ka Lagao mukaddam hai Akhlaq me Allah ka Darr mukaddam hai.
Hume subah sham har waqt is baat ko yad rakhna hai ki kahin hum Allah se duri to nahi bana rahe, hume Allah se Talluq majbut karna hai. Aur is talluq me hume har roj aage badhana hai. Koi Aisa kam nahi karna jiski wajah se Allah se is talluq me duri bane kyoki asli aur haqiqi Talluq sirf yahi hai.
Allah se Talluq ka matlab
Allah se Talluq ka matlab ki aadmi ka jina aur marna, uski ibadat aur qurbaniya sabki sab Allah ke liye ho.
Beshak meri Namaz meri qurbani mera jina aur Mera marna Allah ke liye hai jo sare Jahan ka Rab hai. Qur'an - 6:162
Hume Puri tarah yaqsu hokar Allah ki khalis bandagi karni hai.
Hume huqm isi bat ka diya gya tha ki ikhlas Amal ke sath khuda ki ibadat kare aur yaqsu hokar Namaz parhe aur zakat de (Qur'an- 98:5)
Humare Nabi pak ki hidayto par gaur karne se malum hota hai ki Allah se Talluq ke asal maani kya hai
1) Khule aur Chhupe kam me Allah ka Darr mehsus karna.
2) Insan logo ko raazi karne ke liye kabhi apne Allah ko naraz na kare.
3) apne Zaraye aur sansadhan ke bajaye Allah par pukhta yaqeen rakhna.
Allah se Talluq badhane ka tariqa
Allah ke ek hone par pukhta yaqeen rakhe apna khaliq, Malik, aur Hakim sirf Allah ko tasleem kare. Dil aur Dimag ko shirk se pak rakhe. is talluq ko badhane ke 2 tariqe hai
1 sochna samajhna
2 Amal ka tariqa
Sochna samajhna:- sochne samajhne ke tariqe se Allah se Talluq badhane ka tariqa yah ki Qur'an aur Hadees ko tafseel ke sath samjha jaye, sirf samajhna hi kafi nahi balki us par Amal bhi hona chahiye. In rishto ko thik thik ahsas tabhi hoga jab hum Qur'an ko bar bar parhe aur samajh kar parhe aur apne halaat ka jayeza lete rahe.
Ek rishta humare aur Allah ke bich hum bande hai aur wah Maabud hai humara.
Dusra jameen par hum Khalifa hai usne besumar Amanat humare supurd kar di hai.
Tisra rista ye ki hum Eman lakar kharid - farokht ka muhaida kar chuke hai, jiski mutabiq humne apni Jan mal bechi hai aur usne Jannat ke Wade par kharidi hai.
Chautha rishta yah ki hum uske samne jawabdeh hai.
Bas inhi rishto ko samajhne mehsus karne aur yad rakhne aur uske taqaze pure karne se Allah Pak humare Talluq ke badhne aur kareeb tar hone ka daromadar hai.
Amal ka Tariqa:
Namaz:- Namaz na sirf farz aur sunnat balki jitni parh sakte ho Nafil bhi parhe, Nafil ko jyada se jyada chhipkar aada karna chahiye taki Allah se aapka Niji talluk fale - fule aur khuloos ki sifat aap me paida ho.
Allah ka zikr :- Allah ka Zikr subah Shaam har waqt humari juban par rahna jaruri hai. Zikr Azkaar aur duaon me se jitni bhi yad kar sake kar le, magar alfaaz ke sath unke maani bhi Dil aur dimag me baitha lijiye aur subah sham parhte raha kijiye. Yah Allah ki yad taaza rakhne aur Allah ki taraf dil ko tawajjo jamaye rakhne ka ek bahut hi asardar jariya hai.
Roza:- Roza na sirf farz balki Nafil bhi rakhe. Behtareen aur munasib ye hai ki har mahine 3 din ke roze pabandi se rakhe, aur un dino me khas taur se taqwa aur parhezgari ki us kaifiyat ko hasil karne ki koshish ki Jaye jise Qur'an roze ki asal khaasiyat aur maksad batata hai.
جھاد_فی_سبیل_اللہ_اور_اعتراضات_کا_علمی_جائزہ_الیاس_گھمن.pdf
The Family Unit God created men and women to be different, with unique roles, skills and responsibilities. These differences are not viewed as evidences of superiority or inferiority, but of specialisation. In Islam, the family is of central importance.…
Equal Right to Knowledge Both men and women are equally encouraged to seek knowledge. The Prophet (peace, blessings be upon him) said, "Education is compulsory for every Muslim." Also, great female Muslim Scholars existed at and around the time of the…
Women's Rights in Islam Women in Islam are thought to be subjugated, degraded, oppressed - but are they really? Are millions of Muslims simply that oppressive or are these misconceptions fabricated by a biased media? "And for women are rights over men…
🧊🧊 تَگری مثل کوکا 🧊🧊
تعرفه تبلیغات: @coca_memetab
Last updated 5 months, 1 week ago
𝗚𝘂𝗶𝗱𝗮𝗻𝗰𝗲 is not attained except with 𝗸𝗻𝗼𝘄𝗹𝗲𝗱𝗴𝗲 @madrasatuna
Vocab:
@mufradaatun
Sister's:
@womensbenefits
Manhaj:
@almanhajussalafi
Ruqyah:
@ruqyachannel
𝙔𝙏. https://youtube.com/c/Madrasatuna
𝐄𝐦𝐚𝐢𝐥: [email protected]
Last updated 4 months ago
ما خوده چارتیم ?
لینک چنل گپ ?
https://t.me/Crypto_Shahann
لینک پیج اینستاگراممون ?
http://Instagram.com/crypto_shahan
لینڪ کانال ?
https://t.me/Cryptoo_shahan
لینڪ کانال آموزشیمون ?
https://t.me/amozeshi_shahan
ارتباط با ادمین ?
@Shahan_1367
Last updated 1 year, 3 months ago