Community chat: https://t.me/hamster_kombat_chat_2
Twitter: x.com/hamster_kombat
YouTube: https://www.youtube.com/@HamsterKombat_Official
Bot: https://t.me/hamster_kombat_bot
Game: https://t.me/hamster_kombat_bot/
Last updated 4 months, 2 weeks ago
Your easy, fun crypto trading app for buying and trading any crypto on the market.
? App: @Blum
? Help: @BlumSupport
ℹ️ Chat: @BlumCrypto_Chat
Last updated 4 months, 1 week ago
Turn your endless taps into a financial tool.
Join @tapswap_bot
Collaboration - @taping_Guru
Last updated 3 weeks, 2 days ago
Shaykh Wasiullah Abbas ne kaha: "Duniya mein ek group hai jo apna ilm internet, WhatsApp se leta hai, aur sirf ispar qanaat karta hai, aur duniya bhar se baatein jama karta hai, aur samajhta hai ke ye ulamah ban gaye hain. Aur phir apni marzi se aam logon…
Main ne aise log dekhe hain jo chaar paanch mahine France mein rahe. Kuch sadah loag jo shayad Surah Al-Fatiha ka matlab bhi nahi jaante, yeh kehte hain ke falan alim se ilm nahi lena (jo haq par hai) aur yeh baar baar yeh baatein dohrate hain."
Shaykh Wasiullah Abbas ne kaha:
"Duniya mein ek group hai jo apna ilm internet, WhatsApp se leta hai, aur sirf ispar qanaat karta hai, aur duniya bhar se baatein jama karta hai, aur samajhta hai ke ye ulamah ban gaye hain. Aur phir apni marzi se aam logon ki qiyadat karte hain aur unhein gumrah karte hain. In logon ko deen ka koi ilm nahi hota aur yeh ulamah par tanqeed karte hain. Yeh log baatein phelate hain (kuch ulamah aur talib-e-ilm ke khilaf) aur yeh andhi taqleed karte hain UK ke ek shakhs (Abu Khadeeja) ki jiska sirf science ka teacher ka maqam hai, aur usne idhar udhar se thoda bohot seekha hai. Masla yeh hai ke kuch ulamah aur talib-e-ilm jo kisi ki tawajju mein nahi hote, yeh unhein bulaate hain aur unke saath dars dete hain taake apni qeemat barhayein.
Main apne tajurbe ke saath yeh haqeeqat bata raha hoon. Main inn jawano se kehta hoon: tum gumrahi mein chale jaoge, agar tumhe duniya aur aakhirat mein bhalayi chahiye toh apni zubanein band rakho aur seekhne ka tareeqa ikhtiyar karo, woh ilm jo Allah ne humein sikhaya hai. Pehle ilm hasil karo, Tawheed, Sunnat, Aqeedah seekho aur logon ko sikhayo, aur jaan lo ke kaun sahi Aqeedah par hai. Kisi par ye ilzam lagana ke uska Aqeedah kamzor hai, in logon ko apne aap se sharm aani chahiye.
Main yeh baat khul ke keh raha hoon, kyun ke is dafa main bohot gusse mein hoon. Alhumdulillah, padhai ke baad main aik alim bana, lekin main aise tareeqe se baat karna chahta hoon ke inhein sharam aani chahiye. Agar inhein sharam nahi aati, toh hum Allah se duaa karenge ke Allah inhein ummah se door kar de, taake log in logon se aaram paayein.
Nabi ﷺ ne farmaya jab koi insaan mar jata hai toh wo ya toh mustarih hota hai ya mustarah minhu. Mustarih wo hota hai jo duniya mein halaal kamaayi karta tha, aur qabar mein aaram karega aur Allah usko aaram dega. Aur musatarah minhu wo hota hai jo logon ko takleef deta tha, apni zubaan se logon ko dashta tha (galat ilzaam lagata tha, najaiz tanqeed karta tha), jab yeh mar jata hai toh log us se aaram paate hain. Hum duaa karenge ke Allah ummat ko in logon se aaram de (jo musatarah hain).
Puri yaqeen ke saath main kehta hoon, agar in mein se kisi se deen ke kisi fiqh ke masle ya Arabi zubaan par sawal kiya jaye toh yeh jawab nahi de sakte. Lekin yeh apne aap ko barey ulema samajhte hain aur charon konon mein (duniya ke) apna zehar phelate hain jaise saanp, Allah inhein hidayat de ya ummat ko in se nijaat de.
Kuch log hain jo kisi tareeqe se mazboot nahi, in mein se kuch log aise bhi hain jo bid’ati baap ke bache hain, main inka naam nahi loonga lekin kuch log mere zehan mein hain... Yeh log chahte hain ke aam log haq par chalne wale ulamah se door ho jayein, jaise munafiqeen Nabi ﷺ ke waqt subah iman laate aur raat ko kufr kar lete, sirf is liye ke logon ko Islam se door kar sakein.
Aakhir mein main yeh kehna chahta hoon ke Allah ne humein ilm seekhna farz kiya hai aur ghair ilm se baat karna haram kiya hai, halaal aur haraam ke masail baghair ilm ke na kehna, yeh Allah par bohot bara jhoot hoga.
Khaaskar kisi shakhs ke baare mein gheebat karna aur aise ilzaam lagana jo haqeeqat par mabni na ho aur jo logon ko us se door karein. Yeh rawayya duniya ke kuffar ke kanoon mein bhi qabool nahi, toh Islam ke shar’ee kanoon mein yeh kaise qabool hoga, aur un logon ko jo apni zindagi ilm seekhne mein guzarte hain, un par ghalat ilzaam lagana ka yeh gunaah in gheebat karne walon par hoga.
Yeh bachay jo yeh phela rahe hain ke falan alim se ilm na lo, agar hum kisi Islami riyasat mein hote, toh yeh saza ke mustahiq hote aur jab tak yeh tauba na karte, inhein jail se nahi nikala jata. Lekin (khush qismati se) aise mulk mein (England, India, USA waghera) jahan azaadi hai, hum kuch nahi kar sakte siwaye naseehat ke aur in ke liye duaa kar sakte hain ke Allah humein in logon se nijaat de.
Allah inhein aise kar de ke yeh bol na sakein (apne corrupt alfaz se), yeh apni zubaanon se bohot zulm kar rahe hain.
ﻗﺎﻝ ﺭﺟﻞٌ ﻟﺤﺬﻳﻔﺔ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ:
ﺃﺧﺸﻰ ﺃﻥ ﺃﻛﻮﻥَ ﻣﻨﺎﻓﻘًﺎ!
ﻓﻘﺎﻝ له حذيفة ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ:
ﻟﻮ ﻛﻨﺖَ ﻣﻨﺎﻓﻘًﺎ ﻟﻢ ﺗﺨﺶَ.
A man said to Hudhayfah رضي الله عنه: “I fear I'm a hypocrite.”
He said: “Were you a hypocrite you wouldn't fear.”
● [عيون الأخبار ٢/٧٣٩]
✒ Two Hungers
Prophet Muḥammad Ṣallallāhu-ʿAlaihi Wa Sallam said:
“Two hungry ones are NEVER satisfied, the one who’s hungry for knowledge is never satisfied (due to his eagerness) and the one hungry for Dunyā is never satisfied (due to his greed).”
● [مشكاة المصابيح ٢٦٠ ، صححه الالباني]
al-ʿAllāmah Ṣāliḥ al-Fawzān Hafiẓahullāh said:
“Some ignorant and people of misguidance disapprove Duʿā for the rulers claiming it’s ‘flattery’, NO, this is advice, this is their RIGHT UPON US; that we make Duʿā for them, Duʿā for (their) rectification and guidance!!”
● [التعليق على رسالة : وجوب الأمر بالمعروف صفحة ٣٥]
Imām Aḥmad b. Ḥanbal Raḥimahullāh said:
“Whoever permits rebellion against the ruler and fighting him then he is a MUBTADIʿ (INNOVATOR) who is upon (a way) other than the Sunnah and againt the path (of guidance).”
● [أصول السنة صفحة ٤٦]
✒ A Good End
Prophet Muḥammad Ṣallallāhu-ʿAlaihi Wa Sallam said: “When Allāh Wills good for a slave He uses him.”,
He ﷺ was asked: “How does Allāh use him?”,
So he ﷺ replied: “He guides him to do good deeds (Tawbah and ʿIbādah) before death then takes away (his soul) upon that!!”
● [مختصر صحيح الجامع الصغير برقم ٣٠٥]
✒ Status Of ʿUlamā
“O you who believe! Obey Allāh and obey the Messenger and those of you who are in authority..” — [al-Qurʾān 4:59]
ʿAṭā Raḥimahullāh (Student of Ibn ʿAbbās) said: “‘Those in authority’ here means SCHOLARS and PEOPLE OF KNOWLEDGE.”
● [تفسير الطبري]
Community chat: https://t.me/hamster_kombat_chat_2
Twitter: x.com/hamster_kombat
YouTube: https://www.youtube.com/@HamsterKombat_Official
Bot: https://t.me/hamster_kombat_bot
Game: https://t.me/hamster_kombat_bot/
Last updated 4 months, 2 weeks ago
Your easy, fun crypto trading app for buying and trading any crypto on the market.
? App: @Blum
? Help: @BlumSupport
ℹ️ Chat: @BlumCrypto_Chat
Last updated 4 months, 1 week ago
Turn your endless taps into a financial tool.
Join @tapswap_bot
Collaboration - @taping_Guru
Last updated 3 weeks, 2 days ago