Islamic Search

Description
In Sha Allah through this channel you will be getting Authentic Islamic information in Urdu language.
For English join:- @Islamic_Info_4u
Admin:- @Islamic_Info_Bot
Advertising
We recommend to visit

Community chat: https://t.me/hamster_kombat_chat_2

Twitter: x.com/hamster_kombat

YouTube: https://www.youtube.com/@HamsterKombat_Official

Bot: https://t.me/hamster_kombat_bot
Game: https://t.me/hamster_kombat_bot/

Last updated 1 Monat, 1 Woche her

Your easy, fun crypto trading app for buying and trading any crypto on the market

Last updated 1 Monat her

Turn your endless taps into a financial tool.
Join @tapswap_bot


Collaboration - @taping_Guru

Last updated 2 Wochen, 2 Tage her

1 month, 3 weeks ago

#NamazKiFaziliyat

Islam me Namaz ki ehmiyat is qadar hai ke beth kar namaz ka intezar karna bhi Ibadat samjha jata hai.

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Aur jab tak tum me se koi namaz ka intezar karta hai to wo goya namaz me hi rehta hai."

?: Sahih Bukhari 647

1 month, 3 weeks ago

#AcchiAdat

SALAAM KA SAWAAB ****

Ek shaks Rasool Allah (ﷺ) ke paas aaya aur us ne "As-Salamu 'alaikum (aap par salamati ho)" kaha. Aap (ﷺ) ne usey salaam ka jawab diya, phir wo beth gaya, to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Is ko dus nekiyaan mili."

Phir ek aur shaks aaya. Us ne "As-Salamu 'alaikum wa rahmatullah (aap par salamati ho aur Allah ki rahmat)" kaha. Aap (ﷺ) ne usey jawab diya, phir wo shaks bhi beth gaya. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Is ko bees nekiyaan mili."

Phir ek aur shaks aaya. Us ne "As-Salamu 'alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu (aap par salamati ho aur Allah ki rehmat aur barkat)" kaha. Aap (ﷺ) ne usey bhi jawab diya, phir wo bhi beth gaya. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Isey tees nekiyaan mili."

?: Sunan Abi Dawud 5195 | Hasan | Al-Adab Al-Mufrad 986 | Riyad as-Salihin 850

2 months ago

#AcchiAdat

Fajr ke waqt (ya Fajr ki namaz ke baad) Qur’an padhein kyunke us waqt ki tilawat ke waqt raat aur din ke farishte hazir rehte hain.

"Beshak, fajr ke waqt me Qur'an ki tilawat ka mushahadah kiya jata hai (jis me din aur raat ke insaano ke zimmedar farishte haazir hote hain)." (17:78)

?: Sunan Ibn Majah 670 | Sahih

4 months, 1 week ago

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Koi din ese nahi jin me kiya hua amal Allah ko in dino (me kiye hue amal) se zyada mehboob ho." yaani Dhul Hijjah ke pehle das dino me.
?: Sunan Ibn Majah 1727 | Sahih

4 months, 2 weeks ago

REMINDER ❗️**

•• India me in sha Allah kal maghrib se Dhul Hijjah ka mahina shuru ho sakta hai.**

EID PAR QURBANI KARNE WALE KE LIYE HUQM ❗️****

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Jis ke paas zibah (qurbani) karne ke liye koi janwar ho to jab Dhil Hijjah ka chand nazar aa jaaye, to wo hargiz apne baal aur nakhun naa kaate, jab tak ke qurbani na kar le (phir baal aur nakhun kaate)."

?: Sahih Muslim 1977 (5121)

NOTE: Ye huqm sirf us shaks ke liye hai jo qurbani karne wala ho. Uske baaki ghar walo ke liye nahi to baaki ghar wale baal aur nakhun kaat sakte hain!

4 months, 2 weeks ago

DHUL HIJJAH KE SHURU KE 10 DINO KI FAZILIYAT ****

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "In dino (dhul hijjah ke shuru ke 10 din) ke amaal se zyada kisi din ke amaal me faziliyat nahi."

Logo ne pucha: "Aur jihaad me bhi nahi?"

Aap (ﷺ) ne farmaya ke: "Haan jihaad me bhi nahi siwaye us shaks ke jo apni jaan wa maal khatre me daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi naa laaya (sab kuch Allah ki raah me qurban kar diya)."

?: Sahih Bukhari 969

6 months, 2 weeks ago
Islamic Search
6 months, 3 weeks ago
Islamic Search
6 months, 3 weeks ago

LAILATUL QADR MEIN IBAADAT. ❤️?

Raavi-e-Hadees Abu Hurairah (Raziyallaahu Anhu),

Rasool Allaah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaaya:

“Jo Koi Shab Qadr Mein Eimaan Ke Saath Aur Husool Sawaab Ki Niyat Se Ibaadat Mein Khada Hua Us Ke Tamaam Pehle Gunaah Bakhsh Diye Jaaein Gey Aur Jis Ne Ramazaan Ke Rozey Eemaan Ke Saath Aur Sawaab Ki Niyat Se Rakhey Uske Pehle Tamaam Gunaah Muaaf Kar Diye Jaaengey.”

[Saheeh Al-Bukhaari, Hadees : 1901 ; Saheeh Muslim : 1780-81 ; An-Nasaai : 2204, 2205] ?

  • Har Amal Ke Liye Niyat Ka Durust Hona Zaroori Hai, Rozah Bhi Behtareen Amal Hai. Basharte ke Khuloos Dil Ke Saath Mahaz Allaah ki Razaa Ki Niyat Se Rakha Jaaye.

  • Aur Hukm Ilaahi Par Yaqeen Hona Bhi Shart Hai Ke Mahaz Adaaeygi Rasm (Following Tradition) Na Ho Phir Na Sawaab Milega Jo Is Hadees Mein Zikr Hai. Soorah Al-Qadr, Soorah No.97

  • Is Soorat Ke Makki Aur Madani Hone Mein Ikhtilaaf Hai. Is Ki Vajah Tasmiyah (Naam Rakhney) Mein Bhi Ikhtilaaf Hai.

  • Qadrun Ke Ma’ni Qadr Va Manzilat Bhi Hain, Isliye Isey Shab Qadr Kehte Hain, Is Ke Ma’ni Andaaza Aur Faisla Karna Bhi Hain, Is Mein Saal Bhar Ke Liye Faisley Kiye Jaatey Hain, Isliye Isey Lailatul-Hukmi Bhi Kehte Hain, Iske Ma’ni Tangi Ke Bhi Hain.

  • Is Raat Itni Kasrat Se Zameen Par Farishtey Utartey Hain Ke Zameen Tang Ho Jaati Hai. Shab Qadr Ya'ni Tangi Ki Raat, Ya Isliye Yeh Naam Rakha Gaya Ke Is Raat Jo Ibaadat Ki Jaati Hai, Allaah Ke Haan Uski Badi Qadar (Value) Hai Aur Is Par Bada Sawaab Hai. Iske Ta’yyun (Deployment) Mein Bhi Bohat Shadeed Ikhtilaaf Hai.

[SOURCE: Fathul-Qadeer]

  • Taahum Ahaadees Va Aasaar Se Vaazih Hai Ke Yeh Ramazaan Ke Aakhri Ashrah Ki Taaq Raaton (21,23,25,27,29) Mein Se Koi Ek Raat Hoti Hai.

[Al-Bukhaari : 2017, 2020] ?

  • Isko Mubham (Uljha Hua) Rakhney Mein Yahi Hikmat Hai Ke Log Paanchon (5) Hi Taaq Raaton Mein Iski Fazeelat Haasil Karne Ke Shauq Mein, Allaah Ki Khoob
    Ibaadat Karein.
We recommend to visit

Community chat: https://t.me/hamster_kombat_chat_2

Twitter: x.com/hamster_kombat

YouTube: https://www.youtube.com/@HamsterKombat_Official

Bot: https://t.me/hamster_kombat_bot
Game: https://t.me/hamster_kombat_bot/

Last updated 1 Monat, 1 Woche her

Your easy, fun crypto trading app for buying and trading any crypto on the market

Last updated 1 Monat her

Turn your endless taps into a financial tool.
Join @tapswap_bot


Collaboration - @taping_Guru

Last updated 2 Wochen, 2 Tage her