Shruti

Description
aestheticpoetry_here
meghaa's._.lines👀🥀
Either circle or square👀
Poetry poetry everywhere💖
Handled by👉MEGHAAAA❤
@its_megha_1😴
New id, keep support🌷
.
.
.
.
.
.
Awwww💘lots of love🌻
Advertising
We recommend to visit

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any Content.

Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any
Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

Last updated 6 months, 2 weeks ago

Subscribe Our Official verified Youtube Channel https://youtube.com/c/FANTASYCRICKETGURU

Follow me on Instagram for GL Team and Share Your winnings at
https://www.instagram.com/cricket.fcg/

Follow us on Twitter https://twitter.com/realFCG?s=09

Last updated 22 hours ago

2 months ago

Tumse dil lagane ko dil hain machalta mera
Tumhari khushboo se hi yeh ghar mahakta mera
Aap ki aarzo mein bhi to mere chupe arman hain
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Thehre labon pe likhai haath rukte hain nahi
Suni suni thi jo raahe hum to milte hain wahi
Har taraf ghumte milenge sarfire se haal mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Aangan ho mera aur tum aangan ki tulsi ho meri
Dhup laghe tumko to main bunde baras aau tabhi
Aise ehsaason se hi toh chal rahe sarpaon hain
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Song Credits:
Song: Apne Alfaaz Mein
Lyrics: @Shruti
Date: 21st May 2022

3 months ago

Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Yeh Ishq e tishnagi kuch aur hi hain
Is Ishq ko hotho pe rachne do
Kuch baatein adhuri reha gayi thi
Unhe nazm mein bun ke kehne do
Ae dil tu mere thair bhi ja ab
Ae dil tu mere thair bhi ja ab
Ishq ka dariya kehta hain kuch
Humko kinara hasil hain jab
Humko kinara hasil hain jab
Kuch lamhe toh sanja karne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Apne hi likhe huwe armano par
Yun toh rooz gasht laghte firte hain
Jo tum pankh inhe de deti ho agar
aasma chad ne ki baate karte hain
Hum se na puch hal mera
Hal e dil kya kehte hain
Ishq ki galiyon se bhi ab
Toh na guzra karte hain
Sham sawere teri aahe
Bharte hi raha karte hain
Sham sawere teri aahe
Sham sawere teri aahe
Bharte hain toh bharne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Kaltalak o bemukmmal
Ishq tha humse pare
Aaj uske hi khatir
rehne do badmast hame
Hum se jyada khushnasib
hoga na kynat mein
Aapki nazaro ne aaj
dikha di janat jo hame
In aankhon ne jo nagme likhe
Pure armano se behne bhi do,
inhe aas hain jis ki karne toh do
Pure armano se behne bhi do
Pure armano se behne bhi do
Jab Ishq kiya hain main ne toh
Palkon ke aage teri maaya
Palkon ke aage teri maaya
Chalti hain toh chal ne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Song Credits:
Song: Ehsan Tumhara Karta Hoon
Lyrics: @Shruti
Date: 1st March 2022

4 months, 3 weeks ago

Nighaon mein kya koi hain
Sham talak jis ko dhunde
Galiyon mein ban ke awara

Rozana khidki pe rehti nazar
Koi hain dil mein agar
Toh khule ke hume batao na

Choti si duniya hain meri
Jee rahi hoon tere sahare

Mehsus hota hain kya
Koi dil mein rehta kya
Mera hi hain woh makan kya
Kehdo na mera makan hain

Nazare hain besham
Rakhti hain tujhpe nazar
Tujhko koi na chura le hain
Koi mujhse na tujhko chora le hain

Khawab hain mere tujhi se
Jee rahi hoon tere sahare

Lipto na mujhse yun aake
Baahein tarasti hain meri
Parwa nahi mujhko meri
Ho gayi hoon tere hawale

Manzil pe nazar hogi kiski Agar
tu jo ho us ki dagar han
Darte ho kyun paas aao
Mujhmein kahi bas jao

Udhne de khudko yaha tu
Yeh duniya hain meri banayi
Mujhko tu mujhse churale
Jee rahi hoon tere hi sahare

Tute mere sabhi bandhan hain
Tu hi mere kyun sang hain
Tu hi meri khushiyon ka dariya
Tu hi mere khubsurat jahana ka sitara

Tv se jab bhi tujhko main dekhu
Tu bhi chup chup ke mujhko nihare
Aata hain tab ye khayal zahen mein
Kaise koi tujpe dil kyuna haare

Tujhko main apna banalu
Sar aankhon pe tujhe baithau
Aang ke dariye mein khudu
Tu kehde toh iss mein tairu

Khawab hain mere tujhi se
Jee rahi hoon tere sahare
Mujhko tu mujhse churale
Jee rahi hoon tere sahare

Kar le sabar ya ban besabar
Khwabo ko du mein udhan kya
Khwabo ko du mein udhan kya

Song Credits:
Song: Jee Rahi Hoon Tere Sahare
Lyrics: @Shruti
Date: 24 December 2021

7 months ago

Yaha koi Gaykaar/Singer ho toh hame jarur bataye ham chahte hain ki hamare bolo ko bhi koi awaz mile taki woh bhi sur ke saath gunguna sake.

Baki new song upload toh hum july se hi karna cha rahe hain but kar nahi pa rahe hain kyuki us mein hum kuch edit kar rahe hain isliye upload nahi huwa abhi tak nahi toh kab ka upload ho jata kyuki yeh sabhi songs hamare pehle ke likhe huwe hain isliye pehle inhe upload karle us ke baad jo naye gaane abhi hum likh rahe hain unhe upload karna shuru karenge.

8 months, 2 weeks ago

Dooba hoon main toh khayalon mein tere ke uthu toh tum aaoge nazar,

Pagalpan bhi toh mera yeh tum dekho aakhon mein hain nahi basar,

Maut aa de zindagi ab jeena nahi bin tere..

डूबा हूं मैं तो ख्यालों में तेरे
के उठो तो तुम आओगे नज़र,

पागलपन भी तो मेरा ये तुम देखो
आँखों में है नहीं बसर,

मौत आ दे जिंदगी अब जीना नहीं बिन तेरे..

Shayari Credits:
Shayari: Maut aa de zindagi
Shayra: @Shruti
Date: 5 September 2023

10 months, 2 weeks ago

Tera sukoon ka
karz mila mujhe
Dard mera, bane teri dawa

Meharbaan huwa nahi
Mujhpe mera yakin
Aisi rahi yeh dard-e-dasta

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda
Mola mere mola

Tujhse mile hi kyun
Meri rahi kya khata
Kuch bhi kehne jaisa na raha

Zinda rahe kyun hum
Bura hain ye sitam
Kaise sahe yeh saza

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda

Berehem hain zindagi
Karti nahi rehem
Jaise hum ne di ho wajha

Jal bhi gaye kadam
Jaane fir bhi kyun
chal raha hain yeh silsila

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda

Teri ulfat ne hi
Chini meri zameen
Mujhe mili yeh gufaa

Zinda hoke bhi kyun
Mar se gaye hain hum
Aisa bhi kya tha gunah

Ab toh fakat yahi
marde tu mujhe abhi
Kahi us se pehle nafrat lele na jagha

Raago mein mere
dodh rahi hain saazishein
Kahi main na dedu unhe panah

Song Credits:
Song: Karde Mujhe Is Dard Se Juda
Lyrics: @Shruti
Date: 17 December 2021

11 months, 3 weeks ago

Kaisi teri hain jadugari
Dil mein tu hi hain mere har kahi
Main na raha mar hi gaya
Aankhe khuli nahi jab se tujhse mili

Tu ne chuwa aankhon se han
Sharm-o-hayaa mujhmein aane laghi
Main kya kahu kaise kahu
Mujhe sharam yun satane laghi

Sun mere humnasheen Mann le dil ki kahi
Ishq mera bezuban Sun le dil ki pukar

Betabi aankhon se behne aayi
Teri adaye hain meri gawa
Mujhe na roke koi na toke
Ishq ka jaam de ruk zara

Dekh tujhe asar yeh huwa
Teri talap mujhko laghne laghi
Kaise chudau mushkil bada
lat hain ke mujhse niklati nahi

Meri toh nazre tujhi ko dekhe
Chand sitare bhi hain jab ki yaha
Chehre pe tere dil ye mera
Aata hain til ki wajha se bada

Zalim mehbooba meri nazro se khelti hain
Aankh micholi jaan ke bhi yeh khabar

Betabi aankhon se behne aayi
Teri adaye hain meri gawa
Mujhe na roke koi na toke
Ishq ka jaam de ruk zara

Ab tak jin se bhi main mila
Aankhe mila na paya pyaar se
Laghta hain dar khona du khudko
Shahid ho ke main pyaar mein

Khoya kaha bhul ke sara jahaan
Main bhatkta raha dhudta firta raha
Dil mera hi na raha jaaneman o jaanejahan

Ab toh khuda tu hi bachale zara
Jeena hain mushkil bada
touba is ubalte slab mein mera

Betabi aankhon se behne aayi
Teri adaye hain meri gawa
Mujhe na roke koi na toke
Ishq ka jaam de ruk zara

Kaise huwa kab yeh huwa
Bhanak tak lagh nahi payi humein
Maano meri dil yeh mera
Chupa baitha hain kisi ke pyaar mein

Dil toh mera mil ke bhi na mila
dikha kuch is tarah tere sine mein dhadkta
Teri dhadkan ka kaisa yeh karishma ?
Diwane dil ko le gaya

Betabi aankhon se behne aayi
Teri adaye hain meri gawa
Mujhe na roke koi na toke
Ishq ka jaam de ruk zara

Song Credits:
Song: Ishq Ka Jaam De Ruk Zara
Lyrics: @Shruti
Date: 15 December 2021

12 months ago

Karwaton mein simtisi hain
Yeh zindagi ab adhurisi hain
Bejaano se jo natasa hain
Har safar ab toh adhasa hain

Banjara main beghar, Dhudta hoon tujhe
Rahteein nahi milti, Kahi aur mujhe

Bichh mein hain tuta manzil ka raasta
Khuda hi jaane takdir mein hain kya likha
Kisi ko pyaar mein milti hain sirf ranjishein
Toh koi pyaar mein bunta nayi nayi saazishein
Najane kya kya dekha kya na dekha ishq mein
Main na jaanu main kya paa gaya hoon tere ishq mein

Banjara main beghar, Dhudta hoon tujhe
Rahteein nahi milti, Kahi aur mujhe

Yaha pal pal jeena marne jaisa haal hain
tu hi bata mera jeena kyu dushwar hain
Kya humdono ke bichh mein koi diwar hain
tu jo milna paye aana paye mere paas mein
Ya tujhe jeete jee mere marne ka intezar hain

Kehne de jo dil ko hain kehna
Aisi takdir ke hum bhi nahi kayal hain
Jaane phir bhi dil kyun hain sehta
Marke bhi tujhmein,hum toh jeete hain

Song Credits:
Song: Banjara Main Beghar
Lyrics: @Shruti
Date: 30 November 2021

1 year ago

Kaahe thaame haath more
Jaane bhi do na piya more

O saiba re, O mahiya re
Layo tore naina ye kaha pe
More piya re

Mere humnava re Mere saathiya re
Sun toh kaa bole mora jiya re

Guzarti ho jab tum mere kareeb se
Sama hi woh kya hota hain
Kaise tumhe hum baya kare
Barish mein bhi bheege na tan
Mann hi jaane kaisa laghta hain

Kahe kahe tu bole ban ke bhole bhale se
Teri adao ke kise hain badhe purane se
Na suna tu mujhe riwayate
Na hogi tujhpe nawazishein
Iss baat pe nazar tu daal le

O saiba re, O mahiya re
Layo tore naina ye kaha pe
More piya re

Sun beliyaa tera jaana mujhe kyun
saza laghta hain
Suna hain jis mein ho sabar ki fitrat
woh ishq hi nahi hota hain
Tu hi bata tujhe dard-e-dil dena kyun
acha laghta hain

Shayaro se puchlo tum,
Janaab yeh ishq kya hota hain
Ishq ki raahon mein
har pal do pal kyun yeh dil jalta hain
Tute tute khawabon se hi kyun
yeh ishq chalta hain

Tere labzo ki siyai ki kayamate
Baras rahi hain aa ke mujpe bewajayate
Na ghayalo se pucho naam mera
Yeh naam bhi toh hain tere
Fir kaisi shikayate

O saiba re, O mahiya re
Layo tore naina ye kaha pe
More piya re

Chhodo baahe ab toh jaane bhi tum do na yaar
Zamana bhi aankhe ab gadaye hain
Nigahaon se chal rahi hain guftagu-e-gazab
Zamana bhi ye kya jaane hain

Zamane se kis baat ki sharam
Ishq hi hain kuch aisi rasam

Zamane se jaane na tum
kyun itna ghabrati hoon
Paas aao tumhe hum chupale
Inh bajo se tumhe bachhale

(10 minutes aur bas
Acha suno, tum na !
Kya ?
Lala lala hm hm
Samjhe nahi ?)

Kaid karke mujhe apni palkon mein
Mujhe apna hi tum banaa lena
Zara bhi rehmat na karna tum
Umarkaid ki koi bhi saza suna dena

Shehad mein jo dubi hain yeh kis ki boli hain
Mithi boli mein khli ja rahi yeh konsi holi hain
Koi raaz toh hain gehra, yun na rakhe unh pe pehra
Jaldi se khayalo ka parda hata diya jaye

(Na na na na na na
Hahahahahah)

O saiba re, o mahiya re
Layo tore naina ye kaha pe
More piya re

Maana teri maujudgi se
honga na waqif main
Par kisi din tu bhul gayi toh
rabb hi jaane mera kya hoga

Piya tujhe meri kasam
yeh din na naseeb aayega
Har ghadi tu har lamha
mujhe apne kareeb hi payega

Khila khila sa jo aaj mera roop hain
Sharm-o-haya ke hate badal aisi dhoop hain
Tujhe fatkar ke bolu ya bade hi pyaar se
Ye tera hi kasoor hain jo aaye mariyada laang ke

Tere jo bol laghe hain sine pe sidhe dhaye dhaye
Ang ang jale hain dekho kaise haaye haaye
Koi inko aina dikhye inke bol inhe sunye

O saiba re, o mahiya re
Layo tore naina ye kaha pe
More piya re

Tham se gaye mere kadam
Lagha raha hain hi nahi zameen ambar
Jaane kaha aa gaye yaaram
Sunyi de rahi hain jaise koi madhur si sargam
Sun toh meri mere sanam
Jaane hain kya chahye tera dil hum
Karna na der zara si bhi balma ab
Na jaane ambar se bijli utar aaye ki kab

Laghta hain yeh shaam bhi dhalne wali hain
Bhala yeh shaam bhi kabhi dhalti hain
Na jaane kaise ghar ja paugi
Kar ke bahana jaise taise aayi thi
Han mummy jaane hain mere saare chakkar
Han toh kha lena do-chaar chappal
Oops! Sorry.

Song Credits:
Song: O Mahiya Re
Lyrics: @Shruti
Date: 29 November 2021

We recommend to visit

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any Content.

Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any
Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

Last updated 6 months, 2 weeks ago

Subscribe Our Official verified Youtube Channel https://youtube.com/c/FANTASYCRICKETGURU

Follow me on Instagram for GL Team and Share Your winnings at
https://www.instagram.com/cricket.fcg/

Follow us on Twitter https://twitter.com/realFCG?s=09

Last updated 22 hours ago