Shruti (Song Writer ✍️🏻)

Description
aestheticpoetry_here
meghaa's._.lines👀🥀
Either circle or square👀
Poetry poetry everywhere💖
Handled by👉MEGHAAAA❤
@its_megha_1😴
New id, keep support🌷
.
.
.
.
.
.
Awwww💘lots of love🌻
Advertising
We recommend to visit

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any Content.

Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any
Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

Last updated 1 year ago

Subscribe Our Official verified Youtube Channel https://youtube.com/c/FANTASYCRICKETGURU

Follow me on Instagram for GL Team and Share Your winnings at
https://www.instagram.com/cricket.fcg/

Follow us on Twitter https://twitter.com/realFCG?s=09

Last updated 4 months, 3 weeks ago

4 months ago
**Prarthi Library** [**Registration Form**](https://docs.google.com/forms/d/e/1FAIpQLSehT3F46vr6jqFifcZe5K8B2fwtmXFR7Tty4qRwyeBS9vxUyA/viewform)

Prarthi Library Registration Form

Link - https://bit.ly/Prarthi

Prarthi Library is Professional Reading Room For Aspirants

Facilities - Free Wifi, Free Parking, Fully AC, Daily News Paper, Personal Locker, Lamp Light & Charging Point, RO Water, Lunch room & Discussion Room, 24x7 Open & Power Backup, CCTV Surveillance and many more..
Monthly Fee -
699 ₹ (6 Hrs),
1099 ₹ (12 Hrs),
1500 ₹ (24 Hrs)

Address - Madhu Vihar, Rajapuri, Dwarka Sec. 5, Bindapur, New Delhi 110059

6 months ago

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Kya garajti bijali ke darmiyane aayi ho tum
Kya aagn laghe paani mein beha aayi ho tum

Tu jahaan ki khubsurat hain aisi pari
Main aashiq diwana tera aaina ho
Tu dekh ke karde mujhe shanoshaukat
Main aaino ki mefil ka badsha jona ho

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Ijazat ho hame toh tujhpe sab luta denge hum
Tu jaanmo ki doult tujhe kaise bhula denge hum

Dur se dekhe tujhe channe wale
Yeh paas ke chashme pe haq apna ho
Kaisi hain zuba aur yeh kya keha gayi
Hame hoth padhne ki mohlat toh do

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Kya laghti ho silki libazon mein tum
Kya laghti ho lehrate kajal mein tum

Hazaro raang the mere dil pe chape
Tujhe niharte saang hi beraang huwe
Kehne ko yeh pheekaphaaki lagh sakti hain
Sache aashiq ho toh hi samjh paao ge

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Nawabon ki doli utha laye hain hum
Tumhe kya pata kya kar aaye hain hum

Nagme sunke yaadon mein aane laghe toh
Yeh geet mera amar ho jayega
Main likh ne se behtar sunau tujhe toh
Kya yeh andaaz bhi pasand aayega

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Main shayar hoon thoda sharmaye ho tum
Main baat hoon choddi kasmewade ho tum

Kya kehna tere aise aashiqo ka
Tere aashiq hain sabhi charmare
Na mardangi na mardana yaha
Khaali fokat ke tere manju bane

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Tujhe danke ki chot pe le jayege hum
Foladi hain sina na ghabrayege hum

Yeh nakhre sahe bhi na jaye agar
Mohabaat mein milte inam jona ho
Aise tanbadan ki kya di je misal
Jise mein aashiq ka swad hi na ho

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Wajha kya bani thi jo ae chaandni tum
Zameen pe ujalo ka kafila leaaye tum

Jo raahi hain chahat ka sabr liye
Wo ishq ki touhin hain karta raha
Nahi maalum usko kya hain dillagi
Na jaane wo ishq mein sabar kaheka

Agar aasma pe saja du tujhe
Toh yeh chand jane fir kidhar jayega
Tu kehdiyo zulfoon ko lehrane laghe
Kahi fir jaa ke yeh ambar jagmaga jayega

Mere mehboob jo banke aaye hoon tum
Hazaro sitaro ki mefil sajaye hoon tum
"O Khuda ki ho rehmat jis nacheez pe
Ishq ka paigam raha us ke aagosh mein"
Solah shringar Jo kar ke aa jao ge tum
Kasamekhuda kya khub lubhao ge tum

Song Credits:
Song: Agar Aasma Pe Saja Du Tujhe
Lyrics: @Shruti
Date: 30th May 2022

6 months, 2 weeks ago
Join me on telegram send channel …

Join me on telegram send channel link or QR code with your friends and family members ?

Link ?? https://t.me/Shruti

8 months, 1 week ago

Tumse dil lagane ko dil hain machalta mera
Tumhari khushboo se hi yeh ghar mahakta mera
Aap ki aarzo mein bhi to mere chupe arman hain
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Thehre labon pe likhai haath rukte hain nahi
Suni suni thi jo raahe hum to milte hain wahi
Har taraf ghumte milenge sarfire se haal mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Aangan ho mera aur tum aangan ki tulsi ho meri
Dhup laghe tumko to main bunde baras aau tabhi
Aise ehsaason se hi toh chal rahe sarpaon hain
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein
Saari umar jee liye hum sunehare ehsaas mein
Kya kahe ab hain nahi hum apne alfaaz mein

Song Credits:
Song: Apne Alfaaz Mein
Lyrics: @Shruti
Date: 21st May 2022

9 months, 1 week ago

Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Yeh Ishq e tishnagi kuch aur hi hain
Is Ishq ko hotho pe rachne do
Kuch baatein adhuri reha gayi thi
Unhe nazm mein bun ke kehne do
Ae dil tu mere thair bhi ja ab
Ae dil tu mere thair bhi ja ab
Ishq ka dariya kehta hain kuch
Humko kinara hasil hain jab
Humko kinara hasil hain jab
Kuch lamhe toh sanja karne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Apne hi likhe huwe armano par
Yun toh rooz gasht laghte firte hain
Jo tum pankh inhe de deti ho agar
aasma chad ne ki baate karte hain
Hum se na puch hal mera
Hal e dil kya kehte hain
Ishq ki galiyon se bhi ab
Toh na guzra karte hain
Sham sawere teri aahe
Bharte hi raha karte hain
Sham sawere teri aahe
Sham sawere teri aahe
Bharte hain toh bharne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Kaltalak o bemukmmal
Ishq tha humse pare
Aaj uske hi khatir
rehne do badmast hame
Hum se jyada khushnasib
hoga na kynat mein
Aapki nazaro ne aaj
dikha di janat jo hame
In aankhon ne jo nagme likhe
Pure armano se behne bhi do,
inhe aas hain jis ki karne toh do
Pure armano se behne bhi do
Pure armano se behne bhi do
Jab Ishq kiya hain main ne toh
Palkon ke aage teri maaya
Palkon ke aage teri maaya
Chalti hain toh chal ne do
Ehsan tumhara karta hoon
Is ehsan tale mujhe dabne do
Do pal jo mile hain qurbat ke
Jee bhar ke mujhpe lootne do

Song Credits:
Song: Ehsan Tumhara Karta Hoon
Lyrics: @Shruti
Date: 1st March 2022

11 months ago

Nighaon mein kya koi hain
Sham talak jis ko dhunde
Galiyon mein ban ke awara

Rozana khidki pe rehti nazar
Koi hain dil mein agar
Toh khule ke hume batao na

Choti si duniya hain meri
Jee rahi hoon tere sahare

Mehsus hota hain kya
Koi dil mein rehta kya
Mera hi hain woh makan kya
Kehdo na mera makan hain

Nazare hain besham
Rakhti hain tujhpe nazar
Tujhko koi na chura le hain
Koi mujhse na tujhko chora le hain

Khawab hain mere tujhi se
Jee rahi hoon tere sahare

Lipto na mujhse yun aake
Baahein tarasti hain meri
Parwa nahi mujhko meri
Ho gayi hoon tere hawale

Manzil pe nazar hogi kiski Agar
tu jo ho us ki dagar han
Darte ho kyun paas aao
Mujhmein kahi bas jao

Udhne de khudko yaha tu
Yeh duniya hain meri banayi
Mujhko tu mujhse churale
Jee rahi hoon tere hi sahare

Tute mere sabhi bandhan hain
Tu hi mere kyun sang hain
Tu hi meri khushiyon ka dariya
Tu hi mere khubsurat jahana ka sitara

Tv se jab bhi tujhko main dekhu
Tu bhi chup chup ke mujhko nihare
Aata hain tab ye khayal zahen mein
Kaise koi tujpe dil kyuna haare

Tujhko main apna banalu
Sar aankhon pe tujhe baithau
Aang ke dariye mein khudu
Tu kehde toh iss mein tairu

Khawab hain mere tujhi se
Jee rahi hoon tere sahare
Mujhko tu mujhse churale
Jee rahi hoon tere sahare

Kar le sabar ya ban besabar
Khwabo ko du mein udhan kya
Khwabo ko du mein udhan kya

Song Credits:
Song: Jee Rahi Hoon Tere Sahare
Lyrics: @Shruti
Date: 24 December 2021

1 year, 1 month ago

Yaha koi Gaykaar/Singer ho toh hame jarur bataye ham chahte hain ki hamare bolo ko bhi koi awaz mile taki woh bhi sur ke saath gunguna sake.

Baki new song upload toh hum july se hi karna cha rahe hain but kar nahi pa rahe hain kyuki us mein hum kuch edit kar rahe hain isliye upload nahi huwa abhi tak nahi toh kab ka upload ho jata kyuki yeh sabhi songs hamare pehle ke likhe huwe hain isliye pehle inhe upload karle us ke baad jo naye gaane abhi hum likh rahe hain unhe upload karna shuru karenge.

1 year, 2 months ago

Dooba hoon main toh khayalon mein tere ke uthu toh tum aaoge nazar,

Pagalpan bhi toh mera yeh tum dekho aakhon mein hain nahi basar,

Maut aa de zindagi ab jeena nahi bin tere..

डूबा हूं मैं तो ख्यालों में तेरे
के उठो तो तुम आओगे नज़र,

पागलपन भी तो मेरा ये तुम देखो
आँखों में है नहीं बसर,

मौत आ दे जिंदगी अब जीना नहीं बिन तेरे..

Shayari Credits:
Shayari: Maut aa de zindagi
Shayra: @Shruti
Date: 5 September 2023

1 year, 4 months ago

Tera sukoon ka
karz mila mujhe
Dard mera, bane teri dawa

Meharbaan huwa nahi
Mujhpe mera yakin
Aisi rahi yeh dard-e-dasta

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda
Mola mere mola

Tujhse mile hi kyun
Meri rahi kya khata
Kuch bhi kehne jaisa na raha

Zinda rahe kyun hum
Bura hain ye sitam
Kaise sahe yeh saza

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda

Berehem hain zindagi
Karti nahi rehem
Jaise hum ne di ho wajha

Jal bhi gaye kadam
Jaane fir bhi kyun
chal raha hain yeh silsila

Mola mere sunle meri yeh dua
Kar de mujhe is dard se juda

Teri ulfat ne hi
Chini meri zameen
Mujhe mili yeh gufaa

Zinda hoke bhi kyun
Mar se gaye hain hum
Aisa bhi kya tha gunah

Ab toh fakat yahi
marde tu mujhe abhi
Kahi us se pehle nafrat lele na jagha

Raago mein mere
dodh rahi hain saazishein
Kahi main na dedu unhe panah

Song Credits:
Song: Karde Mujhe Is Dard Se Juda
Lyrics: @Shruti
Date: 17 December 2021

We recommend to visit

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any Content.

Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

⚠️ Disclaimer :- All The Content in this Channel is Either forwarded From Other Channels Or Taken From the Internet, we Don't Own Any
Toss + Match + Session Free Prediction

❌No copyright infringement intended❌

Last updated 1 year ago

Subscribe Our Official verified Youtube Channel https://youtube.com/c/FANTASYCRICKETGURU

Follow me on Instagram for GL Team and Share Your winnings at
https://www.instagram.com/cricket.fcg/

Follow us on Twitter https://twitter.com/realFCG?s=09

Last updated 4 months, 3 weeks ago