DiNiRAAH

Description
Daily Islamic quiz👉 @Dinisawaljawab

Follow by Social Media👇👇
Youtube~ https://bit.ly/2BmWZml
Facebook~ https://bit.ly/2rj7uWN
Twitter ~ https://bit.ly/38n4wRq
Intagram~ https://bit.ly/36ltWNt


Contact Group Admin👉 @DiniraahAdmin
We recommend to visit

Last updated 2 months, 1 week ago

سيرافقك قلبي إلى اخر العمر
- لطلب تمويل تواصل ← : @ooooow
- قناة التمويلات : @xxxxzz

Last updated 3 months, 4 weeks ago

https://t.me/hjjhhhjjnkkjhgg1234

Last updated 2 months, 3 weeks ago

2 months, 2 weeks ago

Himmat Aur Sabr Ka Sila

Duniya Musibat Aur Aazmaishon Ka Ghar Hai. Koi Bhi Insan Aisa Nahi Jo Kisi Na Kisi Takleef Ya Mushkil Se Na Guzra Ho. Lekin Asal Kamiyabi Us Insan Ki Hai Jo Sabr Aur Himmat Se Kaam Leta Hai Aur Allah Par Bharosa Rakhta Hai.

Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya:

"Muslim Banday Par Koi Takleef, Gham Ya Musibat Aati Hai, Balki Koi Chhoti Si Chhoti Chubhan Bhi Hoti Hai, To Allah Uske Wajah Se Uske Gunahon Ko Maaf Kar Deta Hai."
(Sahih Bukhari: 5641, Sahih Muslim: 2573)

Agar Koi Mushkil Aaye To Ghabrana Mat, Balke Socho Ke Yeh Tumhare Gunahon Ki Maafi Ka Zariya Hai. Jo Log Himmat Se Kaam Lete Hain, Allah Unko Kabhi Mayous Nahi Karta.

Allah Ka Wada Hai:

﴿ إِنَّ مَعَ ٱلْعُسْرِ يُسْرًۭا ﴾
"Beshak Har Mushkil Ke Sath Aasani Hai."
(Surah Al-Inshirah: 6)

Isliye Kabhi Haar Mat Mano, Sabr Aur Dua Se Kaam Lo, Kyunki Allah Tumhare Har Halat Ko Dekhta Hai Aur Behtareen Insaaf Karne Wala Hai!

3 months, 2 weeks ago

Happy New Year, Naya Saal Mubarak📍

Sawal- Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa?

Jawab- Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Dua Hai Ek Momin Ke Liye Ek Momin Ko Dua Dena Sawab Ka Kaam Hai.

Lekin New Year Ke Naam Par 31st December Ki Raat Mein Hone Wali Haram Kariya Sharab Noshi Gaana Bajana Naachna Raat Bhar Jaag Kar Gunahon Mein Mulavvish Rehna Yeh Haram Hai, Aur Aaj Hamare Muslim Naujawan Illa Mashallah Na Namaz Se Matlab Na Roza Se Matlab Apne Chehre Ko Yahudi Culture Mein Dhal Lena Allahu Akbar, Iska Shikar Sirf Ladke Hi Nahi Balki Ladkiya Bhi Hai Jo Maghribi Tahzeeb Mein Poori Tarah Dhal Chuki Hai, Aaj Jitna Hum Apne Naujawan Ladko Ko Maghribi Tahzeeb Mein Dekhte Hai Utna Hi Muslim Ladkiyon Ko Dekh Rahe Hai. Wajah Maa Baap Bhai Ki Taraf Se Khuli Chhoot College School Ke Naam Par,

Aaj Yahi Ghar Se Mili Chhoot Hamari Islami Bahinon Ka Khule Aam Mind Boss Kar Rahi Hai, Kuch Din Pehle Ek Survey Ki News Par Maloom Hua Hamari Muslim Bachiya Hazaron Mein Nahi Lakhon Ki Tadaat Mein Bhagwa Love Trap Ka Shikar Hokar Murtad Ho Gayi Hai, Hazaron Ki Tadaat Mein Maari Gayi Hai Aur Hazaron Ki Tadaat Mein Use Karke Bahar Phek Di Gayi Hai Tarah Tarah Ke Kutto Se Jism Nuchwane Ke Liye Aur Hazaron Ko Kothe Par Bitha Diya Jism Faroshi Ke Dhandhe Ke Liye Allahu Akbar😭

Bas Iski Asal Wajah Yahi Hai Humne Deen-E-Mustafaﷺ Ko Taaq Par Rakh Diya Hai Humne Apni Zindagi Mein Apne Kirdar Mein Apne Guftaar Mein Apni Nafs Mein Duniya Ko Ghalib Kar Liya Hai, Aaj Humne Maghribi Tahzeeb Ko Apni Aan Baan Shaan Bana Liya Hai, Humne Apne Ghar Mein Deeni Mahaul Ko Nikaal Feka Hai,

Aaj Agar Sabse Zyada Koi Qaum Pareshan Hai To Woh Muslim Qaum Hai Jo Har Tarah Se Pareshan Hai, Lekin Jo Allah Ta'ala Aur Uske Rasoolﷺ Ki Farmabardar Hai Uska Rehti Duniya Koi Kuch Na Bigaad Payegi Waqt Hai Musalmano Hosh Ke Nakhun Lo Aur Apne Kirdar Ko Samjho Tumhe Kis Liye Allah Ta'ala Ne Paida Kiya Tumhara Asal Maqsad Kya Hai.

Naye Saal Ki Mubarakbad Do Koi Harz Nahi Lekin Shariat Hume Jitni Ijazat Deti Hai Usme Rehkar Hume Karna Hoga Shariat Ko Taaq Pe Rakhkar Mubarakbad Dena Khud Bhi Gunah Karoge Aur Samne Wale Ko Bhi Usme Shaamil Karoge Allah Ta'ala Hum Sabko Deen Ki Sahi Samajh Ata Farmae. Aameen. #Newyear

4 months ago

Daour-E-Halaat Ka Muashra

Hamari Qoum Ki Sabse Bari Kamzori Hamare Naujwan Hain.
Jo Na Baat Karne Ka Saleeqa Rakhtay Hain Aur Na Zindagi Ke Maqsad Ko Samajhtay Hain.
Fuzool Cheezon Mein Apni Jaane Zaya Kar Rahe Hain Aur Qoum Ko Pasti Ki Taraf Le Ja Rahe Hain.

Kuch Misalein:
Train Se Latak Kar Stunt Karte Hain, Samajhte Hain Naam Banega, Magar Jaan Chali Jaati Hai.
Nashe Ki Latt Ne Naujwanon Ko Tabah Kar Diya Hai. Khud Karte Hain Aur Ilzam Gairon Par Lagate Hain.
Ladki Ke Chakkar Mein Khudkashi Kar Rahe Hain, Zindagi Ki Ahmiyat Samajh Nahi Rahe.
Bike Stunt Kar Ke Maut Ko Gale Laga Lete Hain.
Apne Hi Area Mein Fazool Jhagday Karte Hain, Aur Aakhir Mein Ya To Police Encounter Ya Gang War Mein Maare Jaate Hain.
Gusal Ke Farz Nahi Maloom, Lekin Maslak Ke Jhagday Zaroor Karte Hain.

Sochnay Ki Baat:
Kya Ye Zindagi Hai? Kya Humein Yeh Maloom Hai Ke Musalmanon Ke Sath Duniya Mein Kya Halat Ho Rahe Hain?
Jab Samjhaya Jata Hai To Kehte Hain: "Apna Kaam Karo, Dusron Ki Fikr Chhodo."

Ae Naujwano!
Abhi Bhi Waqt Hai, Apni Zindagi Barbad Mat Karo. Sach Bolo, Adab Se Pesh Aao, Jhoot Aur Chughli Se Bacho.
Yaad Rakho, Jab Hum Apni Zindagi Aur Kirdar Ko Sanwar Lenge, To Duniya Humein Izzat Ki Nigah Se Dekhegi.

Yeh Paigham Har Musalman Naujwan Ke Liye Hai.
Insha Allah Woh Waqt Zaroor Ayega Jab Duniya Hamari Qoum Ko Misaal Banayegi.
Aao, Apni Zindagi Ko Behtar Banayein Aur Qoum Ko Urooj Ki Taraf Le Jayen!

A Silent Message For All Muslims.

4 months, 2 weeks ago
5 months, 1 week ago
5 months, 1 week ago

⚠️ Murday Ki Tamannaa ⚠️

Log qabristan mein aik mayyat ko dafan karke faarigh hi hue thay tabhi aik baray miyan qareeb aa kar kharay ho gaye aur dafan mein shareek tamam logon se poochne lage… Bhaiyo, batao ke agar yeh shakhs jise abhi tumne supurday khaak kiya hai, yeh abhi duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega..!?

Baray miyan ke is sawal par aik dafa toh sabko jhatka laga ke aakhir yeh baray miyan kya kehna chahte hain, baray miyan ne sabko taajjub mein dekh kar farmaya:

Bhaiyo, main aik insaan hi hoon aur mera sawal bohot aasan hai, aur koi mere sawal ka jawab dena pasand karega ke yeh murda shakhs jise tumne abhi abhi dafan kiya hai agar yeh duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega, aap log mere sawal ka jawab dijiye;

Ek do aadmi halki awaz mein bole, nek kaam karega, achay kaam karega, itne mein peechay se bhi kuch awazen aane lagi jaisa ke majme mein aam tor se hota hai ke jab aik aadmi bolta hai toh phir sab apni apni rai dene lagte hain.

Ek awaaz baray miyan ke kaan mein pohanchi ke, yeh deen ka kaam shuru kar dega.

Ek awaaz yeh bhi aayi ke, yeh Quran-o-Sunnat par amal karega.

Abhi jawabon ka yeh silsila chal hi raha tha ke baray miyan bole ke: Maine aap mein se bohot se logon ke jawab sune lekin sabke jawab aur sabki baaton ka khulasa aur nichor yahi hai ke yeh duniya mein wapas aa kar Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari karega aur zindagi mein kabhi naframani nahi karega.

Lekin mere bhaiyo, ab yeh kabhi bhi apni qabr se nikal kar duniya mein wapas nahi aayega. Haan tum log abhi apni apni qabron se bahar ho is liye yeh nek kaam karne ka moqa abhi tumhare paas hai, is liye tum Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari ke woh kaam kar lo jo yeh apni qabr se bahar nikal kar karna chahta hai.

Mere bhaiyo, dekhne mein toh tumhare aur is mayyat ke darmiyan do char fit ka faasla hai ke yeh qabr ke andar hai aur tum qabr ke bahar ho magar dar haqeeqat yeh bohot bara faasla hai.

Yeh baatein keh kar baray miyan ne salaam kiya aur wahan se chale gaye lekin qabr ke paas kharay har shakhs par kapkapi taari ho gayi aur wahan mojood har shakhs ki zubaan par apne gunaahon se istaghfar aur aankhon se aansu jaari thay.

Kaash… humein bhi kisi janazay se aisi ibrat hasil ho jaye aur apni zindagi ki gaari sahi dagar par aa jaye. Hum bhi Parwardigar-e-Alam ke samne sacchi tauba karein aur apni aakhirat ko sanwarnay mein lag jayein.

Dua hai Allah Ta’ala hum sabko nek amal ki toufeeq ata farmaaye…
Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen…

7 months, 2 weeks ago

Ruh-ul-Ameen Kis Farishte Ko Kaha Jata Hai?

Ruh-ul-Ameen Hazrat Jibreel Alaihissalam Ko Kaha Jata Hai.

Qur'an Mein Allah Ta'ala Ne Hazrat Jibreel Alaihissalam Ko "Ruh-ul-Ameen" Ke Naam Se Zikr Kiya Hai. Surah Ash-Shu'ara, Ayat 193 Mein Allah Ta'ala Farmatay Hain:

"Nazala Bihi Ar-Ruh-ul-Ameen"
(Surah Ash-Shu'ara, Ayat 193)

Is Ayat Mein "Ruh-ul-Ameen" Se Murad Hazrat Jibreel Alaihissalam Hain Jo Allah Ka Pegham Paighambaron Tak Pohnchate Hain.

Hadees Mein Bhi Hazrat Jibreel Alaihissalam Ka Zikr "Ruh-ul-Ameen" Ke Tor Par Kiya Gaya Hai, Jaisa Ke Sahih Bukhari Mein Hai:

"Jibreel Ko Ar-Ruh-Ul-Ameen Kaha Gaya Hai Kyun Ke Woh Allah Ka Paigham Bahot Hi Ameen Tareeqe Se Paighambaron Tak Pohnchate Hain."
(Sahih Bukhari: Kitab-ut-Tafsir)

Yeh Lafz Hazrat Jibreel Alaihissalam Ki Amanatdari Aur Paigham Risalat Mein Unke Ahmiyat Ko Zahir Karta Hai.

7 months, 2 weeks ago

Wo Konse Sahabi Hai Jinko Nabi ﷺ Ne Apna Munh Bola Beta Banaya Tha?

Wo Konse Sahabi Hai Jinko Nabi ﷺ Ne Apna Munh Bola Beta Banaya Tha?

Woh Sahabi Hazrat Zaid ibn Haris (Radiyallahu Anhu) hain jinko Nabi ﷺ ne apna munh bola beta banaya tha. Nabi ﷺ ne Hazrat Zaid ibn Haris (Radiyallahu Anhu) ko apne ghar mein rakha aur unhe apna beta kehkar pukara. Yeh waqi'a se pehle ka hai jab Islam mein munh bola beta banane ka riwaj tha, lekin baad mein Allah Ta'ala ne is riwaj ko Qur'an mein manzoor nahi kiya (Surah Al-Ahzab, Ayat 5).

Refrence: Sahih Bukhari, Hadith No. 4782

7 months, 2 weeks ago

Sahaba me sabse afzal Sahabi Hazrat Abu Bakr Siddiq Radhiallahu Ta'ala Anhu hain. Iska saboot Quraan aur Hadees dono me milta hai.

Quraan:

Allah Ta'ala ne Surah At-Tawbah (9:40) me Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Ta'ala Anhu ka zikr farmaya hai:

_"Agar tum unki madad na karoge to Allah ne unki madad ki jab unko un logon ne nikal diya jin mein se woh do me se dosra tha. Jab dono gharo me thay jab ke woh apne sahabi se keh rahe thay, gham na karo, beshak Allah hamare saath hai."_
(Surah At-Tawbah, 9:40)

Is ayat me "sahabi" ka lafz Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Ta'ala Anhu ke liye aaya hai, jisme Allah ne unki izzat aur maqam ko wazeh farmaya hai.

Hadees:

Nabi-e-Kareem ﷺ ne bhi Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Ta'ala Anhu ke maqam ko wazeh farmaya hai. Sahih Bukhari me aata hai:

_"Rasulullah ﷺ ne farmaya: Agar kisi ki dosti ka main apni dosti ki jagah intikhab karta to Abu Bakr ko apna dost banata. Lekin Islam ka rista sabse afzal hai."_
(Sahih Bukhari, Hadees No. 3656)

Is hadees se wazeh hota hai ke Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Ta'ala Anhu Nabi-e-Kareem ﷺ ke sabse qareebi aur afzal sahabi hain.

In daleelon se sabit hota hai ke Hazrat Abu Bakr Siddiq Radhiallahu Ta'ala Anhu Sahaba me sabse afzal hain.

7 months, 2 weeks ago

"Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Ta'ala Anhu" Ko "Bab-Ul-Ilm" Yani "Ilm Ka Darwaza" Kaha Gaya Hai. Ye Laqab Un Ko Nabi Muhammad ﷺ Ne Diya Tha. Is Hawaale Se Ek Mashhoor Hadees Hai:

Hadees:

Prophet Muhammad ﷺ Ne Irshaad Farmaya:
"Main Ilm Ka Shehar Hoon Aur Ali Uska Darwaza Hai."

Reference:
- Sunan Al-Tirmidhi, Hadees No. 3723.
- Mustadrak Al-Hakim, Hadees No. 4637.

Yani, Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Main Ilm Ka Shehar Hoon Aur Hazrat Ali Radhiallahu Ta'ala Anhu Uska Darwaza Hain. Is Hadees Ka Matlab Ye Hai Ke Jo Bhi Ilm Hasil Karna Chahta Hai, Usay Hazrat Ali Radhiallahu Ta'ala Anhu Se Guzaar Kar Hasil Karna Chahiye. Hazrat Ali Radhiallahu Ta'ala Anhu Ki Ilm Aur Hikmat Mein Bohat Buland Martaba Hai, Is Wajah Se Un Ko Ye Laqab Diya Gaya.

We recommend to visit

Last updated 2 months, 1 week ago

سيرافقك قلبي إلى اخر العمر
- لطلب تمويل تواصل ← : @ooooow
- قناة التمويلات : @xxxxzz

Last updated 3 months, 4 weeks ago

https://t.me/hjjhhhjjnkkjhgg1234

Last updated 2 months, 3 weeks ago